Ak bedeen ki shakast (Short story)

Posted on at


Ak bedeen ki shakast

ak martba ak kafir ne abasy khalifa haroon-ul-rasheed k darbar me aa kar kaha. e ameer-ul-momneen! waqat k almo ne is par mukamal itfaq kia h k is dunya ko banane wala or na hi koi chalane wala h.agr koi esa insan ne jise is bat se ikhtalaf h to wo yaha aa kar is masle par mug se sare aam behas kar sakta h.muge yakeen h k use shakast de du ga. haroon-ul-rasheed ne jab us ki ye bat suny to foran apne ak khas admy ko amam azam hazarat abu hanifa ki khidmat me ye pegam da kar rawana kia k

e tamam musalmano k qable ihtaram amam! hamare darbar me is waqat ak munkar mada parast aa kr ye dawa or alan kar raha h k is wasee-o-areez kaenat ko na to kisy ne banaya h or na hi koi hasty is k sare nazam ko chala rahy h. is ne behas or manazra karne ki dawat aam dy h. lihaza mery ap se darkhast h k mere han tashreef lae or apne dalael se is bedeen ko jutha sabit kare. chon k masla khalis deen-e-islam ka tha is liye amam k pas inkar ki koi gunjaesh
na the lihaza pegam bajwaya k me namaz zohar k bad inshallah manazre or behas k liye hazir hu ga.

jab haroon-ul-rasheed ne amam ka pegam suna to is ka aam ilan kr diya.jb zohar ka waqat ho gya to sara ijtma bary bekrary se amam abu hanifa ka intzar karne laga. ak ak gary bary becheny se guzar rahy the.kafi dar ho gae magr amam tashreef na lae. fikarmandy hue. phir suratehal maloom karne k liye dubara darbary ko amam k pas beja gya.jb amam ne darbary ko dakha to uthe or is k hamra haroon-ul-rasheed k darbar me pohnche. Ameer-ul-momneen ne amam ko ata dakha to barh kar istqbal kia or bari khana peshani
se jaga dy.waha kafi tadad me beer jama the sab log ye manazzra dakhne k liye waha akhte huwe the. jb manazra shuru huwa to bedeen se sb se pehle yahi itraz kia k. e abu hanifa! ap ne ane me dar kar dy or apne wade ki khalaf warzi ki kia ye jaez h or is ki koi waja batla sakte ho?

Amam ne jab ye itraz suna to muskra diye or farmaya is k jawab me me sirf itna kahu ga k yaha ane k liye junhi me daryae dajla k kinare pohncha ta k darya aboor kr k ap k ha ao to me ne dakha k sahil par koi ak b kashty nahi h. sawae ak kashty k jis k purane takhte idar udar tute bikhre pare the.or wo istmal k bilkil qabil na the me behad fikarmand huwa lakin jald hi mery ye pareshani ye dakh kar door ho
gae k in takhto me khud ba khud harkat pheda hue or wo ak khas tarkeeb se apas me milte chale gae or dakhte hi dakhte ak mazboot or darust kashty bager kisy karigar k tayar ho gae. ye dakh kar me ne allah ka shukar ata kia foran is kahsty me sawar huwa or darya aboor kar k yaha aa gya.bas mere dar se ane ki waja yahi h. Abu hanifa k mukhalif ne jab ye daleel oe jawab suna to bara khush huwa k ab to shakast lazim ho gae.foran logo ki taraf mu kar k kehne laga. dosto! ap ne sun  liya apne amam ka jawab ab zara gor or insaf se ye faisla kare kashty ka is tara khud ba khud tayar ho jana kia mumkin ho sakta h?

kia tum logo ne is se bara jooth kabi pehle b suna h ya nai? jab is bedeen ko shor machate dakha to ama abu hanifa ne bare tahamal or pur itmad lehje me farmaya. e kafir or aqal k andhe! agr tuje ye yaqeen h k kisy karigar k bagair ak mamooly sy kashty b tayar nai ho sakty or na hi bagair malah k sahi simat me darya paar kar sakty h to bala ye kese mumkin ho sakta h k itna bara karkhana kudrat or kaenat ka sara nazam bagair kisy khaliq or malik k chal sake. yakinan koi azeem hasty majood h jo is kaenat ki khaliq b h or malik b or is k kabza qudrat me sara nazam h. Amam abu hanifa ka ye maqool or haqiqat par mabny jawab sun kar sara majma heran ho gya or sb ne ba awaz buland kaha k amam baja farmate hain.is bedeen ne foran apny shakast tasleem kar ly or miqa pa kar waha se gaeb ho gya.

                                   THE END

Written by: Babar Adrees

International Islamic university Islamabad (IIUI)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160