Aks-e khushbu hun bikharne se na roke koi,
aur bikhar jaaun toh mujh ko na samete koi.
Kaanp uthti hun main ye soch ke tanhai mein,
mere chehre pe tera naam na padh le koi.
Jis tarah mere khwaab ho gaye raiza raiza,
uss tarah se na toot ke bikhre koi.
Main toh uss din se hiraasaan hun ki jab hukum mile,
khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi.
Ab toh iss raah se woh shakhs guzrta bhi nahi,
ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi.
Koi aahat, koi aawaaz..koi chaap nahi,
dil ki galiyan badi sunsaan hain aaye koi. !!