Allah ka mu kis taraf he (Short story)

Posted on at


                            Allah ka mu kis taraf he

Hazarat amam abu hanifa ki umar abi 15 sal the k us waqt k roomy hukmran ne apne ak khasoosy kasad k zariye ilam-o-fan k azeem markaz bagdad me ye pegam bajwaya k muge sirf 40 dino me in 3 sawalo ka sahi jawab diya jae. jo me bajwa raha hu. agr is mudat k andar andar in k darust jawab na diye gae to ahle araq k
tamam muslmano ko apna mazhab tabdeel karna pare ga. jab bagdad me rumy kasad ne ye ilan kia to sab alm-e-fazal log fikar or herat me par gae.


Sawalat ye the.
1) Allah is waqat kia kam karta h?
2) Allah k pas konsi cheez nahi?
3) allah ka mu kis taraf h?

is sawalname ko sun kar sb ahle ilam log soch wa bichar or fiqarmandy me doob gae. Madriso or kutab khano k andar pary hue bari bari kitabo ki chan been shuru ho gae. Log apas me behas karte ta k sahi jawabat ka ilam ho sake. Din tezy se guzar rahe the. akhar 40 roz mukamal ho gae. program k mutabic roomy kasad ne bagdad k shehar k ak buland maqam par banae gae mimbar par char kar ye akhry ilan kia k aj shah mozam k sawalo ka jawab dene ki akhry tareekh h. agr sooraj garoob hone tak in ka jawab na diya gya to hukam k mutabic sab musalmano ko apna mazhab badlna pare ga. itne bare majme me jab ye ilan khatam huwa to ak intahae khoobsurat surakh safed rangat k nojwan ne age barh kar roomy kasad se kaha. agr tum in sawalo k jawab chate ho to foran is buland mimbar se niche utar ao. wo qasad bara heran huwa mager inkar na kar saka or foran niche utar kar is haseen nojwan k pas aa gya. ye haseen shaksiyat amam abu hanifa ki the. jo is waqat kam umar nojwan the. ap ne roomy kasad ko apne kareeb dakha to barh kar is mimbar par ja bethe or rumy ko mukhatib kar k farmaya.

Yad rakho tumhare badsha ka pehla sawal ye h k "Allal is waqat kia kam karta h?" Allah is waqat ye kam karta h k tuje niche utarta h or muge upar bethata h. beshak wo jise chahe bulandiyo se nawaz de or jise chahe pasty ki taraf dakel da, wo jise chahta h izat bakhshta h or jise chahe zilat or raswai data h. wahi jandaro ko phaida karta h or wahi in ko mot deta h. Dusra sawal ye h k.   "Allah k pas konsy cheez nahi" is ka jawab ye h k allah k pas koi nafs nahi wo makhlook ki tara kisy sheh ka muhtaj nahi or hajat mand nahi h. or akhry sawal ka jawab dene se pehle me tum se ye puchna chahu ga k tumhare garo me jo charag roshan kiye jate hain zara ye batao k in ki roshny ka mu kis taraf hota h?

amam abu hanifa k is sawal se wo roomy kasad bukhla utha use sharmindagy se pasina aa gya or majburan ise kehna para k me is sawal ka jawab nahi de sakta. phir amam ne farmaya k us charag ki roshny ka mu kisy taraf nahi hota or Allah b ak noor h lihaza is ka mu b kisy taraf nahi h. Hazarat amam abu hanifa k ye darust or ilmy jawab sun kar roomy kasad khamosh ho gya or tamam majma heran reh gya har koi is kamsin nojwan k ilam ki dad de raha tha. roomy kasad foran majme se nikla or apna sa mu le kar watan rawana ho gya.

                                   THE END

written by:Babar Adrees

International islamic university islamabad (iiui)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160