dil se jo baat nikakti he asar rakhti he per nahi taqat e perwaz mgar rakhti he
qudsi e asal he rifa'at pe nazar rakhti he khak se uthti he gardun pe gzar rakhti he
ishq th fitna garo sir kash o chalak mera asman cheer gye nala e bebak mera
peer a gurdun ne kaha sun k kahin he koi bolay siaray sir e arsh e bareen he koi
chand kehta tha nahi ahl e zameen he koi kehkashan kehti thee posheeda yaheen he koi
kuch jo samjha mere shikway ko yu rizwan samjha / mujhe jannat se nikala huwa insan samjha
thee frishton ko b herat k yeh awaz he kia arsh walon pe b khulta nahi ye raaz he kia
taa sir e arsh b insan tag o taz he kia aa gai khak ki chutki ko b perwaz he kia
ghafil adaab se ye sukaan e zameen kese hen shokh o gustakh ye pasti k makeen kese hen
is qadr shokh k ALLAH se b berham he tha jo mesjood e Malaik ye wohi Adam he
alim kaif he danai ramooz e km he han mgar ijz k israr se na mehram he
naz he taqat e guftar pe insanon ko baat krnay ka saleeqa nahi nadanon ko
aye awaz gham angez he afsana tera ashk e betab se labrez he pemana tera
asman geer huwa nara e mastan tera kis qadr shokh zuban he dil e dewana tera
shukar shikway ko kia husn e ada se tu ne hum shukhn kr dia bandon ko khuda se to ne
hum to maail ba karm hen koi saail he nahi raah dikhlayen kisay raahro manzil he nahi
tarbiat aam to he johar qabil he nahi jis se tameer ho Adam ki ye wo gul he nahi
koi qabil ho to hum shaan e kai dete hen dhundnay walon ko duniya b nai dete hen
Haath be zoor hen alhad se dil khugar hen ummati bais e ruswai peghambar hen
but shikn uth gye baqi jo reh gai but gr hen tha Ibraheem padr aur pisr aazr hen
bada asham nye bada nya tum b nai Harm e Kaba nya but b nye tum b nai
wo b din thay yahi maya e raanai tha nazish mosam gul laala e sehrai tha
jo Musliman tha ALLAH ka sodai tha kbi mehboob tumhara yhi hrjai tha
kisi yakjai se ab ahad e ghulami kr lo millat e Ahmad e Mursil ko mqami kr lo
kis qadr tum pe gran subh ki bedari he hum se kb pyar he han neend tumhen piyari he
taba azad pe qaid e Ramzan bhari he tumhi ke do yahi aain o wfadari he
qom mazhab se he Mazhab jo nahi tum b nahi jazb bahim jo nahi mehfil e anjum b nahi
jin ko ata nhi dunya me koi fun tum ho nahi jis qom ko perwai nasheman tum ho
bijlian jis me hon asuda wo kharmen tum ho bech khatay hen jo Islaf k madfan tum ho
hon ko naam jo qabron ki tijarat kr k kia na becho ge jo mil jayen sanam pthar k
safha e dehar se batil ko mitaya kis ne? noo e insan ko ghulami se churata hkis ne?
mere kaabay ko jabeenon se bsaya kis ne? mere QURAN ko seenon se lgaya kis ne?
thay to aaba wo tumharay he mgar tum kia ho? haath pe haath dhray muntzir e farda ho
kia kaha behar e Musliman he fqat wada e hoor shikwa beja b kray koi to lazim he shaoor
adal he fatir e hasti ka azal se dastoor Muslim ayen huwa kafir to milay hoor o qasoor
Tum me hooron ka koi chahnay wala he nahi jalwa e toor to mojood he Musa he nahi
manfa'at aik he is qom ka nuksan be aik aik he sub ka NIBI deen b emaan b aik
harm e paak b ALLAH b QURAN b aik kuch bari baat thee hotay jo Musliman b aik
firqa bandi he kahin aur kaheen zaatain hen kia zmanay me pnapnay ki yahi baten hen
kon he tarik e aain e Rasool e Mukhtar maslihat wat ki he kis k amal ka miar
kis ki aankhon me smaya he shaar e aghyaar ho gai kis ki nagah tarz e salf se bezar
qalb me soz nahi rooh me ihsas nahi kuch b pegham e Muhammad ka tumhen pas nahi
ja k hotay hen msajid me saf e ara to ghreeb zehmat e roza jo gwara krtan hen to ghreeb
naam leta he agar koi hmara to ghreeb parda rkhta he agar koi tumhara to ghreeb
umra nsha e dolat me hen hum se zinda he millat e beza ghurba k dam se
wa'ez qom ki wo pukhta khyali na rahi barq tabey na rahi shola mkali na rahi
reh gai rasm e azan rooh e Bilali na rahi falsfa reh gya talqeen e ghzali na rahi
masjiden marsia khwan hen k nmazi na rhay yni wo sahib ausaf e hijazi na rhay
shoor he ho gye dunya se Musliman nabood hum ye kehtay hen k thay b kaheen Muslim mojood
waza me tum ho nisara to tmaddun me hanood ye musliman hen jinhen dekh k shermayen yahood
yun to syed b ho mirza b ho afghan b ho tum sabhi kuch ho btao Musliman b ho
dane taqreer thee muslim ki sidaqat bebaak adal is ka qawi los e mara'at se paak
shajar fitrat muslim tha haya se numnaak tha shujat men wo ik hasti foq ul adrak
khud gudazi num kefiat sehba ysh bod khali az khwesh shudn surat meenaish bod
hr musliman rag e batil k liay nshtar tha is k aaina hasti me amal johar tha
jo bhrosa tha isay quwat e bazu per tha he tumhen mot ka dar is ko khuda ka dar tha
bap ka ilm na betay ko agar azbar ho phir pisr qabil e meeras e padr kyun kr ho
hr koi masti mai zoq tan asani he tum Musliman ho ye andaz e Muslimani he
haidery faqr he na dolat e usmani tum ko islaf se kia nisbat rohani he
wo zmanay me moaziz thay Musliman ho kr aur tum khwar huay tarik e quran ho kr
Tum ho aapis me ghzabnak wo aapis me Raheem tum khta karo khta been wo khta posh o Kareem
chahtay sub hen k hon ooj e surreya pe mukeem pehlay wesa koi peda to kray qalb e saleem
takht faghfoor be in ka tha sareer ke be yonhi batain hen tum me wo hammiat he b
khudkushi shewa tumhara wo ghyoor o khuddar tum akhuwat se gurezan wo akhuwat pe nisar
tum ho guftar srapa wo srapa kirdar tum trastay ho kali ko wo gulistan e biknar
ab talk yad he qomon ko hikayt in ki naqsh he safha e hasti pe sadaqat in ki
misl e anjum ufq e qom pe roshan b huway but e hindi ki muhabbat me berhaman b huway
shok e perwaz me mehjoor e nasheman be huway be aml thay he jawan deen se bd zan huway
in ko tehzeeb ne her band se azaad kia la k Kabay se sanam khanay me abad kia
qais zehmat kash e tenhai sehra na rhay shehar ki khai hawa bada e pemana rahay
wo to deewana he basti me rhay ya na rhay ye zaruri he hijab e rukh e laila na rhay
gila e jor na ho shikwa e bedad na ho ishq azad he kayun husn b azad na ho
ahad e no bark he aatish zan her kharman he aiman is se koi sehra na koi gulshan rhay
is nai aag ka aqwam e kuhan eendhan he Millat khatm e RUSUL(S.A.W) shola ba perahn he
aaj b ho jo Ibraheem(A.S) ka eeman peda aag ker sakti he andaz e gulistan peda
dekh kr rang e chamn ho na preshan mali kokab e ghuncha se shakhien hen chmaknay wali
khas o khashak se hota he gulistan khali gul ber andaz he khoon e Shuhda ki lali
rang gurdoon ka zra dekh to anabi he ye nikaltay huway suraj ki ufk tabi he
Ummatai gulshin e hastai me samr cheeda b hen aur mehroom e samr b hen khazan deeda b hen
senkron nakhl hen kaheeda b baleeda b hen senkron batn chamn me abhi posheeda b hen
nakhl e Islam namoona he baroo mndi ka phal he ye senkroon sadion ki chamn bndi ka
Waqt e fursat he kahan kaam abi baqi he noor e toheed ka atmam abi baqi he
misl bo qaid he ghunchay me preshan ho ja rakht brdosh hawai chamnstan ho ja
he tink maya to zrray se byaban ho ja naghm e moj se hungama e toofan ho ja
quwat e ishq se her past ko bala kr de dehr me isme MUHAMMAD(S.A.W) se ujala kr de
ho na ye phool to bulbul ka trannum b na ho chamn dehr me kalion ka tbassum b na ho
ye na saqi ho to phir may be na ho khum b na ho bazm e toheed be dunya me na ho tum b na ho
khaima e aflak ka istada isi naam se he nabz e hasti tapish amada isi naam se he
dasht me daman e kohsaar me medan me he behar me, moj ki aagosh me toofan me he
cheen k shehr Marrakesh k byaban me he aur posheeda Musliman k eeman me he
chashm e aqwam ye nzara abd tk dekhay rifa'at e shan " ..................." dekhay
paak he gard e watan se sr e damaan tera tu wo Yousuf he her Misr he kina'an tera
qafla ho na skay ga kbi weeran tera ghair ik bang e dra kuch nahi saman tera
nakhl shama asti wa dr shola dod resha e tu aaqbat soz bod saya e andesha e tu
tu na mit jye ga Iran k mit janay se nsha e may ko taaluk nahi paimanay se
he ayan urish e tatar k afsanay se pasban mil gye Kabay ko sanam khanay se
kashti e haq ka zmanay me sahara tu he asr e no raat he, dhundla sa sitara tu he
he jo hungame bpa urish e belghari ka ghafilon k liay pegham he bedaari ka
tu smajhta he ye saman he dil azari ka imtihaan he tere eesar ka khuddari ka
kyun hrasan he saheel fars e a'ada se noor e haq bujh n skay ka nafs e a'ada se
chashm e aqwam se mkhfi he haqeeqat teri he abhi mehfil e hasti zrurat teri
zinda rakhti he zmanay ko hrarat teri kokab qismat imkaan he khilafat teri
mardm e chashm zameen yani wo kali dunya wo tumharay shohda palnay wali dunya
garmi mehr ki perwarda hilali dunya ishq walay jisay kehtay hen Bilali dunya
tapish andoz he is naam se paaray ki terha ghota zan noor he aankh k taaray ki terha
aqal he teri sipr, Ishq he shamsheer teri meray dervesh khilafat he jahangir teri
masvi ALLAH k liay aag he takbeer teri tu Musliman ho to taqdeer he tadbeer teri
Ki Muhammad(S.A.W) se wafa tu ne to hum tere hen Ye jahan cheez he kia Loh o Qalam tere hen
SAQI
nasha pila k girana to sub ko ata he maza to jb he k girton ko thaam le saqi
jo bada kash thay puranay wo uthtay jate hen kaheen se aab e baqai dawam le saqi
kti he raat to hungama e gastri me teri sehar qareeb he ALLAH ka naam le saqi
- See more at: allamaiqbalforus.blogspot.com/2011/10/jawab-e-shikwaanswer-in-urdu.html#sthash.J1VjzlZn.dpuf