Apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
Ik zara sher kahun aur mein kya kya dekhun
Neend a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhun
Sham bhi ho gai dhundhla gai ankhen meri
Bhulne wale mein kab tak tera rasta dekhun
Sab ziden uski mein puri karu har bat sunu
Ek bache ki tarah se usse hansta dekhun
Mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
Ang ang apna ussi rut mein mehakta dekhun
Tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
Ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
Mein ne jis lamhe ko puja hai usse bas ik bar
Khwab ban kar teri ankhon mein utarta dekhun
Tu mera kuch nahin lagta magar Ae jan-e-hayat
Jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun
Apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
Posted on at