Jisse Zindagi Dhoon rahi hai
Kya yeh woh makam mera hai
Ya chain se bas ruk jau
Kyu dil yeh mujhe kehta hai
Jasbaat nai se mile hai
Jaane kya asar yeh hua hai
Ek aansu mili phir mujhko
Jo kabul kisine kiya hai
Ha..Kisi shaayar ki ghazal
Jo de ruh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
Hmm..
Jaise koi kinara
Deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi mod par
Koi raat ka tara
Karta ho ujaala
Aise hi roshan kare woh shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuch aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmm..Jaise baarish kar de tar
Ya marham dard par
Koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai jaise banjaare ko ghar
Uska tha yeh chehra
Deta hai jo pehra
Jaane chupata kya dil ka samandar
Auron ko toh har dam
Saya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usse phir kyun?
Mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai irada tera
Hmm..Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar

Jaise banjaare ko ghar