Haseen dillagi, qahqah-e-shadmani
Hamesha haseenon se aankhain larani
Sada kamyabi, sada kamrani
Bohat yad ati hai batain purani
Woh din raat kuway nigaran k phairay
Woh kamra-e-firozan woh zeenay andhaire
Woh zulfo k halqe woh bahon k ghaire
Wohi muddaton jaa k ratain bitani
Bohat yad ati hai batain purani
Woh sardi ki ratain woh jaray ka joban
Lihafon mai kamsin dilon ki woh dharkan
Chhurana woh baton say har bar daman
Woh aangan mein mehki hui raat rani
Bohat yaad ati hai batain purani
Saji halwaton may, kabhi shughl e meena
Wo mahbooba e khush ada, khush qareena
Kabhi uske haathon say zid kar kay peena
Kabhi apne haathon say usko pilani
Bohat yaad aati hain batain purani
Ab na woh dil na wo dil ki nadanian hain
Na woh hum, na woh bazm-e-samanian hain
Na woh dosto ki gul afshanian hain
Na woh fikr-e-rangeen ki jolanian hain
Gayi shair goi, rahi noha khani
Woh beeti jawani woh beeti jawani