chalak bekhary or tajr (Short story)

Posted on at


chalak bekhary or tajr

Abdul Rehman afganistan ka haqikat pasand or insaf karne wala hukmaran tha.is k adal or insaf k charche door door tk phele huwe the.kaha jata h k is k dore hakumat me pashawar shehar k do(2) tajr tajarat k garz se afganistan se mashoor shehar kabal gae.waha pohanch kar inho ne gosht ka karobar shuru kia jo bara nafa baksh raha.kuch arsa me inho ne kafi dolat kama ly.in ko apne watan se ae huwe saalo guzar chuke the.ab inhe biwi bacho or digr azeez-o-akarab ki yad ne sataya to inho ne watan wapis ane ka arada kia.Wapsi k safar k duran jab wo jalal abad k shehar me pohnche to inho ne dakha k bari shahra k kinare ak bekhary bheek mangte huwe ye sada buland kar raha h.

e mere baio! afsos kardish zamana ne mug se mera sb kuch cheen liya. hata k mery ankhe b jaty rahy.ab is bechargy ki halat me kia hi acha ho k koi mery hately par ak bar phir kuch sike rakh kar muge in ki lazat mehsoos karne ka moqa de. Dono tajro ne jb is gadagr ki ye ajeeb-o-gareeb awaz suni to bare haran huwe or sochne lage. Bechara kitna mazloom h? na jane is ki kitny shadeed khawahish h k paiso ko choo lu.wo dono is k pas pohnche or is ka hal pucha.

Nabina bekhari in ki bat sun kar bola.

Kia batlao bhai! me apne shehar ka ameer or taqatwar insan tha.ak bari jaedad mery malkiyat the.muqadar par kise ikhtyar hota h.halat ne asa palta khaya k sb kuch hato se jata raha.or natija ye nikla k paise paise ka muhtaj ho gya hata k ankho ka noor b jata raha. ab is gurbat me ap k samne beyaro madadgar bheek mang raha hu.Tajro ne kaha ab ap ki kia tamanna h? Bekhary ne kaha bas tamanna ye h k koi mere hato me kuch dar k liye kuch paise  rakh kar muge dolat ki lazat mehsoos kar lene de is tara mere dill ko sakoon mill
jae ga.

Tajro ne is ki bat sun kar socha, chalo is ki ye khawahish pury kar date h.akher mazoor or andha  hi to h. to phir dono ne apne rapao ki thely bekhary k hat me thama dy.Bekhary ne thely apne hato me le kar in ka shukriya ada kia or phir is thely ko tatol tatol kar dakhne laga. jb thory dar guzar gae to tajro ne kaha. ab tumhary dily tamanna pury ho gae h hm ne lambe safar par jana h lihaza hamary
thely wapis kr do. in ke ye bat sun kar bhekhary ak dam khara ho gya or ak tarf chal para. sath hi is ne kaha.

kon si thely? jao miya mug gareeb se mazak na karo.me to ap dono ko janta tk nahi. tajr andhe bekhary ka ye jawab sun kar heran reh gae.inhe apny kamai hue tamam dolat hat se jaty hue nazar ane lagy.wo sochne lage k ye kia ho gya or hm kis azab me phans gae. inho ne dubara bekhary se apny thely mangy magr wo pehle se b zayada makary se bola. tumhe maloom nahi me ne is sarak k kinare  ak zamana se bath kar ye raqam jama ki h.or tum mery rakam chalaki se chinna chahte ho.

tajr is ki ye bat sun kar mazeed gabra gae. or zabardasty is se thely lene ki koshish ki.is par bhekhary ne shor machana shuru kar diya. jis se kai log waha par akhate ho gae jab inho ne dakha k andha shore macha raha h to inho ne dono tajro ko kaboo kar liya inho ne logo ko sahi surthal se aga karne ki bohat koshish ki magr kisy ne in ki bat par itmad na kia. lihaza sb in ko pakar kar ameer kabal abdul rehman k pas le gae jo is waqat afganistan ka hukmran tha.

ameer kabal makama sunne k liye kursy adalat par betha tha.tamam darbary amla majood tha.bekhary or tajr b majood the. makadme ki samat shuru hue. ameer abdul rehman ne bekhary se pucha k wo apny safai me kia kehna pasand kare ga. jawab me bekhary ne sary dastan bayan kar dy. is ne apna bayan jary rakhte huwe kaha h.in logo ne mery rakam chinna chahy or girftar ho kar yaha puhncha diye gae.is k bad ameer kabal ne tajro ko apny safai bayan karne ka hukam diya is tara jab dono k bayanat mukamal ho gae to ameer abdul rehman ne darbary ahalkaro ko hukam diya k kareeby khuly jaga par kisy bare bartan me paani dala jae.or is paani ko khub garam kar kmuge itlah dy jae.

Ameer kabal ka ye ajeeb hukam sun kar dono tajr seham gae in k jisam larzne lage k pehle to rakam gae ab jan b ja rahy h in ko yakeen hone laga k adalat k faisle k mutabic inhe is garm pani me daal diya jae ga.or jb pani garm ho gya to ameer ko matlah kar diya gya. Ameer ne ak nazar kholte huwe pani par daly or phir wo rapao ki thely khol kar tamam sike is me dal diye.kuch dar intzar kia. phir juk kar pani k bartan me bare gor sr dakhne laga. sab log bari herani se ise dakh rahe the.kisy ki samaj me koi bat nai aa rahi the k hukmran makaqme ka faisla kese kare ge. kuch dar bad ameer ne hukam diya k bartan ko niche utar diya jae or tamam rakam pani se nikal kar isi thely me band kar k mere hawale kar dy jae. hukam baja laya gya or thely ko phele ki tara band kar k ameer abdul rehman ki khidmat me pash kar diya gya.

ameer ne thely apne hath me rakh ly or tajro ko nazdeek bula kar bary muhabat se thely in k hawale kar dy or sath hi ye alan kar diya k ye rakam asal me in tajro ki the. jab tajro ne khalaf-e-tawako faisla suna khushy k mare in k seham zada chehro par surkhy or taro tazgy aa gae. jo log makadme ke ajeeb-o-gareeb faisle ko samaj nai pae the wo bare heran the akhar ak darbary ne jurat se kam liya or ameer kabal se faisla se mutalik pucha ameer kabal ne kaha.

darasal jin tajro ko mujrm bana kar yaha laya gya tha wo beguna the. tajr  paisha or karobar k lihaz se gosht ka karobar karte the lihaza me ne gor se pani me dakha k garm or ublte pani ki sata par charbi or chiknahat k nane nane zarat terne lage or bartan ka pani chiknahat zada ho gya.jo is bat ki alamat tha k in tamam siko par jo pani k andar dale gae the in gosht farosh tajro k hath lage huwe the lihaza mera faisla or andaza sahi nikla or chalak faqeer ne b iqbale jurm kar liya.ameer abdul rehman ki hazir damagy se tamam log behad khush or mutasir huwe. chalak faqeer ko harasat me le liya gya or tajro ko baizat apne mulak jane ki ajazat de di gae.

                          THE END

Written by: Babar Adrees

International islamic university islamabad (iiui)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160