Chalo ke kuucha e dildaar chal k dekhty hain ..
Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain,
Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain,
Suna hai aesa maseeha kahin se aaya hai,
Ke us ko sheher ke bemaar chal ke dekhte hain,
Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko,
Hai kon ronak-e-bazar chal ke dekhte hain,
Uss aik shakss ko dekho to aankh bharti nahin,
Uss aik shakss ko har baar chal ke dekhte hain,
Woh mere ghar ka kare qassd jab to saaye se,
Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain,
Faraz aseer hai us ka ke woh faraz ka hai,
Hai kon kis ka giraftaar chal ke dekhte hain…