Dasht o darya se guzarna ho k ghar mein rehna
ab to har haal mein hai, hum ko safar mein rehna
dil ko har pal kisi jadoo ke asar main rehn
khud se nikle to kisi aur ke dar mein rehna
sheher-e-gham dekh teri aab-o-hawa khushk na ho
raas aata hai usse deedai-e-tar mein rehna
feslay sare usi ke hain humari baabat
ikhtiyaar apna bus itna ke khabar mein rehna
koi khatir na madarat na taqreeb wasaal
hum to bus chahte hain teri nazar mein rehna
raat bhar chand mein dekha karen surat teri
subah ko aur hi soda mere sar mein rehna
mein to har chehray mein ab tak wahi chehra dekhu'n
usko har roz tamasha-y-dagar mein rehna
wahi tanhai wahi dhoop wahi be sitmi
ghar mein rehna bhi hua rah guzar mein rehna
tootna yoo'n to muqadar hai magar kuchh lamhay
phool ki tarah mayyasar ho shajar mein rehna
Dasht o darya se guzarna ho k ghar mein rehna
Posted on at