HAJRA-E-ASWAD THE BLACK STONE

Posted on at


Today my post is about Hajra-e-Aswad The Black Stone. This is my first post about an Islamic topic so I prefer to use Roman as my language in this blog.

 

 


Dil ye bat sochne per majboor ho jata he k aakhir is pathar (stone) ki fazilat kia he.
Hajra-e-Aswad ka muqam Hazrat Ibrahim A.S k door me waziha hwa. Is pathar (stone) ki fazilat ye he k jab hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad S.A.W Khana-e-Kaba tashreef lae to unho ne wahan mojood tamam pathar jinko Non Muslims ne apne khudaon k tor per pujte the jinme Laat, Hoot or Mana bhi the jo ek kisam k pathar the jinhe Hazra Muhammad S.A.W ne turwa phenka magar Hajra-e-Aswad ko mojood rehne dya, aakhir kia waja thi k is pathar ko itni fazilat hasil hui.

 

 

Hazrat Ibrahim A.S ne apni zindagi mei buht safar kiye kisi pathar ne unke kadam mubarak ko apne sine mei nasb nhi kia magar ye wo wahid pathar he jisne Hazart Ibrahim A.S k kadmon k nishan apne sine per nasb kye. Is pathar ki fazilat ye bhi k Hazrat Ibrahim A.S ne is pathar per khare ho ker Khana-e-Kaba ko muakmal farmaya or Hazrat Ibrahim A.S ne is pathar per khare ho ker Allah se Hamare Nabi Hazrat Muhammad S.A.W k ly dua bhi farami thi.

Is pathar ka zikr tafseel se Quarn-e-Pak mei bhi mujood he jab Hazrat Ibrahim A.S is per khare the.
Parah 2, Ayah 127,128,129 Al Quran Al Bakarah.

Is pathar ki fazilat ye bhi he k hame Tawaf mukamal karne k lye Is pathar k samne khare ho ker 2 Nawafil ada karne hote hain.

Hajra-e-Aswad ki azmat or fazilat k bare mei jitna bataya jae kam he or ye to sirf khuch alfaz the jo mene is pathar ki fazilat mei bayan kye.



About the author

160