Haq ka bol bala (Short story)

Posted on at


 Haq ka bol bala

Mamoon-ul-rasheed khandan abasiya ka wo mashoor hukmaran h. jo bara reham dill or insaf pasand tha. ak roz mamoon-ul-rasheed l pas ak bury orat ne aa kar ye  shakaet ki k shehzada abas ne zabardasty mery zameen par kabza kr liya h.muge mera haq wapis dilaya jae. Mamoon-ul-rasheed ye bat sun kr guse me aa gya or foran shehzada abas ko talab kia jb shehzada aya to use mujrmo k katehre me khara hone ka hukam diya gya.

Ab shehzade or burya dono ko apna apna masla bayan karne ko kaha gya. tajab or herat ki bat dakhye k bayan dete waqat shehzada bary naram or kamzor awaz me bol raha tha jab k bury orat burhape k bawjood b baland or garjdar awaz me khalifa ko apny faryad keh rahi the. Wazeer ne jb burya ko baland awaz bolte dakha to adalty adab or adalty asoolo k paishe nazar use uncha bolne se mana kia. magr mamoon-ul-rasheed ne wazeer ko shakty se mana farma diya or sath hi ye hukam diya k is faryady orat ko apny marzy k mutabic bolne diya jae. q k me janta hu k haq or sach ne qudrty tor par is ki awaz ko buland kr diya h. jab k shehzada abas ko is k jooth ne or dokha dahi ne daba kar rakh diya h.

sach ka hamesha bol bala hota h. or jooth dab kr reh jata h. is liye khalifa mamoon-ul-rasheed ne burya k haq me faisla de kar shehzade ko saza ka hukam diya.

THE END

Written by: Babar Adrees

International Islamic university islamabad (iiui).



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160