HAQ KI TALASH
ye un dinno ki bat ha jb hamara hamsaya mulk eran abi fars k name se hi pukara jata tha.us waqt zameen per do hi bari sultanat thi.aik shah hrqul ki sultanat rume or dusri shah qaisara ki sultanat fars.inhi namo ki manasibat se in mamalik ke bashinde rumi or farsi kehlate the.ye kahani ab us dore ki bbiyan ki ja rahi ha lihaza hm fars ko eran k nam se biyan kare ge. asfahan eran ka aik qadeem tareekhi or khoobsurat shehr ha.kisi zamane m is shehr k qarbojawar m aik ost darja ka parsi kunba abad tha.maba isi ghair muslim aatish parast kunba ka aik nokhaiz or hunahaar nojawan tha.us k zume ye kam tha k wo aatish kada ki mukamal daikhbal or nigrani kre.maba ka walid paisha k lihaz se zamindar tha.isi liye maba ibadat khana ki daikhbal k ilawa karobar m apne walid ka hath b batata. or zamindari k kam m us ki madad krta.aik roze mazhbi ibadat yani aag ki pooja k liye aik wasee medan m aag ka aik bra alao roshan kia gaya or bare bare parast zinar pehne or chogo m malboose is aatish k gird daire ki shakal m jama ho kr aag devta se apni murade magne lage.maba ne apne bazurgo ko jb is bejan sha k age baadab khare bari agizoinkasari k sath sir jhukae dili murade mangte dekha to is k zehn m foran ye khayaal aya k ibadaat magne ka ye tareeqa bilkul galt ha or gahalat pr mabni ha. ye log is jins ki ibadat krte ha jo khud muhtaaj ha.
zahir ha jo khud muhtaaj ho ga wo dusroo ki zaroorat kase pura kr sake ga. ibadat k laiq koi aisi hasti honi chahiye jo aala lafani or jumla ikhtiyarat ki malik ho.ye khayal aate hi maba k zahir batin m aik pareshani ki khafiyat paida ho gai.abi wo in khayalo se lar hi raha tha k aag k aalao m mazeed hidat tazi or surhkhi paida ho gai phr yakdum itraf se taiz hawa k jhonke chalne lage. maba ne dekha k aasman b surmai rangat ikhtiyar krta ja raha ha.phr dekhte hi kale badlo ka gehra saibaan se bari tazi se barish hone lagi ha or tamam aatish idhr udhr bikhrne lagi ha.barish k mote mote qatre jb is aag k aalao pr girte to hlka hlka neeme safaid rang ka duaan uthta jis se is ki hidat or shidat m kami waqaya ho jati.is tarah musalsal or matwatar barish ne is aalao ko bilkul sard kr dia or hr trf pani hi pani nazr ane laga.maba ki soch ne aik naya andaz badla or use khayaal aya.ye kaisa devta ha jise barish k chote qatro ne pamaal kr dia ha.aise kamzore mazoore or beikhtiyar khuda ki ibadat krna to bewaqoofi ha.is liye in khayalaat ne use talash haq m safr krne pr majboor kr dia.maba ne aikroze apne ghar per aik alwidai nzr dali or apni manzil ki justuju m nikl para.taweel musafat or dushwar guzar marahil ta krta hoa eran se sham pohncha. duran safr aik jaga maseehiyo ko aik girja m ibadaat m masroof dekha.ise yu mehssose hoa kaatish parasti se ba ibbadat qadre behtir ha ta hm wo is ibadat se b mutmain na hoa albata aik padri se rabta kr k apna mudha bataya.padri ne is khoobbsurat nojwaan ki dti se lagn bari dastaan sun ise tasali di or kaha.beta m itna alam to ni hu k tmhai ilmi piyas ko bhuja saku. tahm tmhare dil m mojzin jazba talash haq ki qadar krte hove sirf itni rehnamai kr sakta hu k tmhe kisi aise rehnama ki bheju jo muj se ziada danish mand ho or sahib ilm ho.is maqsad k liye m tmhe aamoria shehr jane ki hadayat krta hu waha k padri tmhari puri madad rehnmai kare ge.agli subha aftab ki sunehri kirno k sath nojwan amooria ki trf rawana hoa.qasba qasba qarya qarya gair abad maqamat se guzrta hoa erani bashinda kai dino bad amooria dakhil hoa.amooria aik qadeem tareekhi shehr tha bare are ahle alam is shehr m abad the.jab maba na hsbe hadayat girja k paadre ko talash kar k us na apni dastaan dil kahi to wo maseehi rahnuma bari shafqat aur muhabat se paish aya.
mabaaik taweel arsa tak is padre k sath raha us doraan us na maseeh k tareeka ibadat aur daigar rasumaat kA GAHRAH JAIZA LIYA MAGAR KOI BAAT US K DIL KI IZTRAABI KO KAM NA KAR SAKI BALKA DIL KI KASAK MAZEED BARTI GAI AUR TALASH HAK KA JAZBA SHIDAT IKHTIAAR KARTA GAYA.MABA HAR DAM BA KIRAAR RAHNA LAGA. US KI NIGAHE KHILAO MA BATKI RAHTI.JAISAY KISI GUMSHUDA CHESE KI TALASH HO PHIR YAKdam wo is aas aur umeed par pur sakoon ho jata k aik na aik din us ki matlooba manzil usay zaroor mil kar raha g. maba ko amooria sheher ma aay aik arsa guzar chuka tha.padre na usay har tarha say pyar o muhabat aur shafqat say nawaza aur is k aaram o asaaish ka khayal rakha taham un tamaam sahoolto k bawajood maba kabi kabi itna baikaraar ho jata k us k chahray k khadokhaal ki tagayar amaizy aur ankho ma phailty hoi surkhi say ya zahar hota jaisay wo us shehar ko bi khair abaad kah daina chahta h. maseehi padri bht burah thaor aik arza k sabab is k andar behd naqaht or kamzori paida ho gai.
is liye aik roze is ne maba se kaha. beta m tmhari batini kafiyat ko janta hu.mje khabar ha k tmhare ander kerwate lene wala talash haq ka jazba tme shaboroz beqarar kr raha ha.tm jld apni manzil ko pana chahte ho.m tmhe taqeen dilaata hu k manzil bht jld tmhare qareeb ane wali ha.tmhare intizaar ki taweel shab khtm ho kr subha m badlne wali ha.wo dooriyan khatm hone wali ha.jo aik mehboob or muhib k darmyan arsa draz se hail ho jati ha.eta tmhe maloom ha k m apni umr k us hise pe hu jaha zinda rehne ki aas dam tore jati ha.is liye ye meri arzoo ha k m tmhe is raz se aashna kr du.jo tmhe talash haq ki manzil se hmkanar kr de.jaha tak meri tahqeeq ka taluq ha meri nazr m aisa koi rehnma ni jo tuje asal manzil tak pohncha de albata agr tm himtoistaqlal se kam lo to NABI AKHIROZAMAN ka zamana qareebb ha alhami kitabbo m in k maboose ba risalat hone ki tamam paish goiyan majood ha. anqareeb in ka zahoore khita hijaz m hone wala ha.in ki shanakht k liye m tmhe chand nishaniyan bta deta hu.wo Allah k nabi ho gay aur sadqa kabool nahi karey gay.hadya qabool kar karey gay.
un k shano k darmian mahar nabuwat ho gi.agar tum kisi tarha un tak rasai hasil kar saktay ho to ma tumhay wasooq say ya yakeen dilata ho k tumhari dily murade bar aye g aur tum apnay maqasid khair ma kaamyaab aur kamraan ho gay.jis talash e haq ma tum sargadah ho wo haq tumhay us nabi akhar alzamaan ki bargah aliya say mayasar aa jai ga.is tarha tumhara zahar aur batan aur ruh aur jism aik abdy sakoon aur tamaniat paalay gay.maba padre ki is hairat angaizat aur ajeeb inkashaf say baihad hairaan aur khush hua phir wo apni manzil ki talash ma sar zameen hajaz ki taraf janay waley aik karwaan k sath apnay taweel safar par rawana ho gaya.ya qafila chonka tajir paisha afraad par mushtamil tha aur karobaar ki garz say hi wo is safar par ja rahay thay chanacha apnay paisha waarana zaihan ki munasbat say doraan safar khubsurat aur nokhese maba ko galaam bana kar aik arab yahody kay ha farokhat kar dia. is tarha maba bikta bikata mashoor arab qabeela bani qareeza ka aik maaldar yahody ki malkiat may khajooro kay kai bagaat shamil thay. maba bi din bar bagaat k taweel alkaamat darakhto ki buland shakho say taza khajooray torta.isi tarha hasb e mamool aik ros wo apne kam m masroofe tha k malik k kisi taluq dar ne aa kr bataya k vadi qaba m makkah ki janib se koi ajnabi aa kr tehra ha.yasrab or girdonawah k bht se log is k gird jama ha.is ki sarapa shaksiat noorani or intahai hassenopur kashish ha.hr aik ka yahi khayal ha k wo nabi akhirozaman ha.ye ilfaz maba k kano se takra to is k dil ki dharkan m taizi aa gai.wo foran khajoore k darakht se neeche utra or is mamle m apne yahoodi malik se pucha.malik ne maba k istafsar ko ghustakhi smj kr is k muu per thapar raseed kr dia or bola.tm ne apna kam q chore dia ha. is mamle se tmhara kia matlb.maba malik ka ye rawaya dekh krgirya gunnah ankhon se dubara drakht per char kr khajoor torne laga.ju ju waqt k saye gehre hote ja rhe the.is ki eqarari shidat ikhtiyar krti ja rahi thi.
ise wadi qaba m aane wale shaks ko dekhne ka ishtiyaq muztarib bnae hove the.phr jb is ne apna kam khatm kr lia to foran vadi qaba ki trf rukh kia.waha pohnch kr maba ne dekha k kai logis norani shasiat k gird jama ha.jb wo b un logo m ja mila to aik ajnabi musafir k chehra anwar dekh kr is ne mahsoos kia k is mah laqa k deedar se yaqenan zehn k dabeez pardo m koi aisi azeem hasti ujagr ho jati ha.ise is munzaomuqadas shakhs k chehre k mahtabi khadokhaal m apni manzil saaf nazr aa rahy ha ise aj is hasti ki zayarat ne aisa sakoon dia ha.k aisa kabi is ki zindagi k aik lamha m ise na mil saka tha.bagair tahqeeq k is k dil m ye rachiqokamil yaqeen ho gaya k aamooria k padri ne jis nabi akhirozaman ka zikr kia tha ye wohi shaksiat ha.tahm dil ko mazeed tasali dene k liye maba adab k sath un ki khidmat m hazir hoa or bolaa.a bazurgobartar shaksiat m ap k liye kch sadqa laya hu.jwab mila mere bhai m sadqa ni leta.ap se maba ki mulaqat madina m hoi.is ne phr aarz kia.map ki khidmat m hadiya paish krne ki tamana rekhta hu.agr ap ise qabool kare to anayat ho gi.ap ne maba ka hadya na sirf qabool kia lke ise sahaba m taqseem frma dia. in do alamto ki tasdeeq ne maba ki bekuli beqarari ko km kr dia.kch dino bad maba khidmat uqdas m hazir hoa.ap us waqt aik mayat ki tadfeen k liye jannatulbaqee m tashreef farma the.maba ap k qareeb ja kr ap k peeche khara ho gaya.HAZOOR(SAW) ne maba ki batni kafiyat ko bhanp liya tha.or apni qamar se apni chadar peeche kr di ta k nabuvat ki mohr ki jhalak nazr ae.maba ne ju hi mohr nabuvat dekha moqa ghaneemat jana or berh kr bosa le lia. qadm ba qadm talash manzil haq ka ya safr mohr nabuvat ki zayarat ke sath mukamal ho gaya.fart musarat or jazbat aaqeedat muhabat ne maba ki ankhon m sawan bbhar dia.is ki ankho m aik chamak paida ho gai.jase badlo m burq chamkti ha.phr ye labrez ankhain barsne lagi.aik trf maba garya kana tha or dusri janib rehnat aalam jobn per thi.ap ne maba ki ankho ko num dekha to farmaya a nojwan mere rubru io.tameel hukm m maba Hazoor(SAW) K SAMNE AA GAYA.IRSHAD hoa kia mamla ha.jwab m maba ne sari dastaan sunai.HAZOOR(SAw) NE SARI KHANI SMAYT FARMAI.MABA ne damn pheela lia.or HAZOOR ne eman ki dolat se is k daman ko bhar dia.hr kisi ne is aataerasool pr khushi ka izhaar kia or maba ko khush qismat tareen shakhs qarar dia.wo sb is k muqadar per rashk kana the.jise nigaah RASOOL na maba se SALMAN FARSI bna dia.
THE END
Written by: Babar Adrees
International islamic uni islamabad (iiui)