HAZRAT ADAM ALYEH SALAM ki Pedaish

Posted on at


Aslam o Alikum

is topic mein mein anbiya yani peghambroon ke qise share karonghi jis waqt aur jis tarah aur jis jis qoom pe ALLAH unhe is duniya mein bheejte rhe hain woh sab share karonghi so sabse pehle hazrat adam alyeh salam ka qisa share karonghi aur uske baad hazrat shesh ayeh salam aur isitarah yeh silsila aik din hazrat MOhammad(saw) pe khatam hugha (inshallah)..so agr aap loogo ko in stories mein kuch ghalti nazar ayay tu islah kijyega kuonke typing mein aksr mistakes hu jati hain aur baaz ooqat kuch rawayat aisi hoti hai jinke bare mein kafi sawalat uthte hai zehn mein isliyay ..bila kisi jhichak ke aap loog muje took saqte hai baqi mein apni pori koshish karonghi ke ghaltiya na hu ..


HAZRAT ADAM ALYEH SALAM


hukm e ilahi ke sab farishtoon ne bila azro takrar Hazrat Adam ko sajda kiya mgr iblis NE INKAR KIYA AUR BOLA MEIN ADAM SE BEHTAR HUN

 


BYAN E PAIDAISH:
ravyan mutbar se rawayat hai ke hazrat adaM ki bayan e paidaish pe yeh ayat nazil huwi"jab ALLAH NE bani adam ko banane ka irada kiya tu hazrat izrail ko hukm hua ke aik muthi haak har qism ki surh(red)sufeed(white)sayah(black)zamin se layay .hazrat izrail khuda k hukm k mutabik tamam qism ki haak zamin se ikhati kar layay aur use makka aur tayif k darmyan rakhi aur phir allah talah ne abre remat (yani ke barish) is mati pe barsai aur apni qudrat se aik matti ka putla bnaya aur 40 baras taq woh qalb e bejaan wohi para rha .phir jab allah tallah ne chaha ke sitara e iqbal hazrat adam ka roshan aur martaba e adam tamam mahlooqat pe zahir hu tu rooh e pak(soul) ko hukm sadir hua ke badn e adam(alyeh islam )mein dahil hu...lakin us waqt rooh ne jism e mubarak mein dahil hone se inkar kiya "...khuda ka khukm rooh ko puhncha "eh jaan dahil is badan mein ho..jab roohe qalib adam ke sir e mubarak se dahil huwi jistarah rooh puhnchti thi badan jo theekre(yani bejaan cheez ki tarah)ki manind tha ghoosht aur poost se badlta jat tha ...jab rooh seena e mubarak taq puhnchi tu adam(alyeh islam) ne uthne ka irada kiya wohi zamin pe gir paray" isi waste khuda ne quran e majeed mein farmaya hai ke "ke insan jald baaz hai aur isi halat mein hazrat adam ne cheenka aur ilhaam e ilahi(khuda k ishare se ) ALHAMDULLILLAH kaha "aur isi rahim o karim ne farmaya ke sabse pehle yeh baid adam pe khula aur phir bani adam pee...aur uske baad hazrat adam ko janat mein lejaya gya whan taht o taaj pe izat se bithaya gya ...aik rawayat mein ata ke farishte hazrat adam ki paidaish se pehle hi apas mein kehte the k jise khuda tallah haak se paida karke taht pe bithayega woh humse khuda k nzdik zyada aziz hugha...aur hum jo din raat khuda ki bargah mein rehte hai ilm hmara zyada hugha ...baad mein is pe aik ayah nazil huwi"tamam cheezoon k naam hazrat adam ko ilhaam(gaibi toor pe bta ke) karke hukm kiya farishtoo se in chezoon k naam poocho"


(yeh sab isliyay kiya gya kuonke allah tallah yeh btana chahte the ke kisi ko bi gayib ka ilm nahi husaqta jab taq k woh khud kisi pe zahir nakarde subhanallah)


phir allah tallah ne farishtoon se farmaya" ke naam do muje in chezon k aur jab woh jawab se ajiz hue tu apni ghalti ka aitraaf karte hue bole "ke ya allah tu pak hai aur nahi ilm humein mgr jo tune sikhaya hum ko aur beshaq tu hi alim aur daana (aqalmand) hai"uswaqt allah tallah ne hazrat adam(alyih islam) ko zahir aur batin kamal se arasta kiya(yani har lihaaz se ashrafulmahlooqat bnaya sabse afzal mahlooq)aur tamam malayik(farishte)jo ke hazrat adam k samne saff(line) bande khare the hukm dya ALLAH NE"aur hukm dya humne ke sajda karoo adam ko sab farishtoon ne bagair kisi takrar ke sajda kiya mgr iblis maloon ne inkar kiya aur kaha ke mein adam se behtar hu yani woh magroor hugya...is waste ke muje aag se paida kiya gya aur mein kuonkar matti se paida ki gai mahlooq ko sajda karonga..."is nafarmani pe shaitaan farishtoon se nikal dyya gya aur hameesha k liyay uspe lanat kardi gai...


(aik rawayat mein ata k iblis ne sabse zyada khuda ki ibadat ki hai air jab hum uske btayay hue raste p chalte hai tu wohi hmara mazaq urata hai ke muje aik sajda na karne p itni saza mili hai tu tum apna soocho tumhara kya bnega)


phir hazrat adam janat mein rehne lagay aur unki tabiyat inthai afsrda rehni lagi tab hazrat adam p khuwab ne galba paya ...khuwab ke dooran allah ne apni qudrat se adam k pehlo e chip se hazrat hawa ko paida kiya( aik hadis hai k aap saw ne farmaya eurat ke sath kabhi bi sakhti nahi karoo kuonke woh mard ki bayini pasli se paida ki gai hai jo ke thori si teeri hoti hai isse jitni sakhti karoge utni bagawat pe utregi)..jab aap baidar hue tu dekha k aik eurat pakeeza inke paas bethi hai..woh inki narm tabiyat aur husn e sorat ko dekh k nihayat khush hue aur poocha ke tu kon hai?aur hazrat hawa ne kaha ke "mein tere badan ka juz (hisa) hu haq tallah subhanna ne teri pasli se muje paida kiya" ...aik rawayat mein ata k hazrat hawa itni hubsurat thi k mpori qainat ki eurtoon ka husn unke husn ki kheerat hai...yani 10 hisoon mein se 9 hise husm hazrat hawa ko ata farmaya aur baqi 1 hisa baqi pori qainaat ki eurtoon ko...adam ne usi waqt sajda e shukr baja layay...dono ko hukm hua k eh adam tum dono janat mein rho aur hoob meeve khaoo mgr is darakht ke paas mat jana yani kahiyoon k darakht se kuch mat khana...jab iblis ki nafarmani ki saza usse farishton se nikal jane ki sorat mein mili tu harwaqt hasad ki aag mein jalta tha usne khuda se vaada liya tha k woh uski mahlooq ko ta qyamat barkayega...aur phir woh har waqt isi sooch mein rehne laga ke kis tara janat mein bethe adam ko whan se nikala jayay...usne pehle taaoos (i dont no konsa janwar hai) se dosti ki ke muje apne bazoo pe bitha k janat mein puhncha de jab usne inkar kiyaaaur kaha k yeh baat saanp se kaho tu saanp(snake) ke paas gya aur usse apne fareeb ke mantr se mutasir kar liyaa..saanp isse apne muh mein bitha k janat mein legya aur hazrat adam aur hawa k paas jake rona shuru kardya...hazrat adam n hawa ne poocha kuon rota hai unho ne usse nahi pehchana tu tab shaitaan ne kaha k mein tumko naseehat karta hu muje tumharay haal rona ata hai...aur tum is behshat se nikale jaoge aur tumse yeh neemtein cheen li jayengi..aur lazte hayat se zayiqa muat ka chakhoge...hazrat adam aur hawa ke yeh tamam batein sun ke bht afsoos hua tu iblis ne kaha ke agr mera kaha mano tu aik dharakht btaonga uska meva khane se tum loog hameesha zinda rhoga...aur tum ko maut hargiz na ayegi...hazrat adam ne poocha woh konsa dharakht hai tu shaitaan ne kaha yeh wohi dharakht hai jiska meeva khane se allah ne mana farmaya hai....hazrat adam ne yeh baat taslim na ki aur farmaya k muje hargiz na farmani e khuda manzoor nahi tu shaitan ne qasam khayi ke mera tumhara khair khuwah hun ..


hazrat adam whan se uth ke chale ghay aur ****aan ne isi tarah jake hazrat hawa k dil mein wAswasa dala aur saanp ne ****aan k kehne p gawahi dii ke yeh sacha hai...tu tab hazrat hawa ne hazrat adam se kaha ke saanp tu khadim behshat ka hai aur woh bi is shahs ke sath gawahi derha hai ab tu mein pehle is dharkht ka phal khati hun aur agr kuch halal hua tu mere waste khuda se maafi mangyoo..aur nahi tu tum tamam umr behshat ki neemtein chain se khana ...woh phal khane ke baad unke andr se parda uth gyaa...aur phir allah tallah ne dono ko zamin p utar dya ...lakin dono ko different hitoon(jaghoon pe utara gya)

 

phir allah tallah ne farmaya " ke adam tum zamin pe utar jarrhe hu taqeh tumharay farzad(yani aulaad) paida hu"
adam hum e ilahi ke mutabik hita e hindustan mein ayay aur rehna shuru kiya jab hazrat e adam ne hita e hindustan mein ake maskan kiya (yani hawa se mile) tu hawa hamla(pregnant huwi)...aur aik beta aur beti ne janam liya bete ka naam qabil aur beti ka naam aqleema rakha...wohh nihayat hubsurat thii..aur phir hawa hamla huwi tu bete ka naam habil aur beti ka naam gaza rakha mrg gaza hubsurat na thi...jab yeh dono jore baray hue tu allah ne hazrat jibrail ko beja aur farmaya k habil ki behn ko qabil k sath aur qabil ki behn ko habil k sath munsalik kardoo..yeh baat adam ne apne betoon se kehdi..is baat ko sun ke qabil ne inkar kardyaa..aur kaha k meri behn aqleema saheb e jamal hai hasin hai tu mein isko nahi dongi ...adamm ne kaha k yeh allah ka hukm hai tu maan lakin woh na mana chunache adam ne hukm e ilahi ke mutabik qabil ki behn ki shadi habil k sath kardii..aur qabil ki shadi habil ki behn ke sath kardii...qabil ne hasd se habil ko kah ak meri behn aqlima ko tu talaq de tu mein isse apni hidmat mein rakhonga...(talak k maane ajki talaq nahi hai it's mean k choor de )..habil ne kaha k yeh meri bv hai mere baap ne iske sath meri shadi ki hai...aur mein hargiz apne walid ka hukm na taloonga...hazrat adam ne is jagre ko mitane k liyay apne betoon se kaha k tum dono bhai koh e mina pe qurbaniya karke rakh doo..jiski qurbani allah ki dargah mein qabool hughi aqlima ussi ki bivi hughi...chunache dono betoon ne apne walid k hukm se kayi bakriya le ke ziba karke koh e mina p rakh di...AUR DUA MANGI ke ya ilahi qurbani hmari qabool kar wohi pe habil ki qurbani kabool ki gai aur qabil ki rad(reject)tab qabil ne habil ko muhatb kiya jaisa k quran mein hai" ke qabil ne habil ko kaha k mein tujko maar dalonga ke qurbani teri qabool huwi habil n kaha allah qurbani qabool karta hai parhaiz garoon ki agr tu hath chlayega mujpe ke muje maar de lakin mein hath na chalaongha tujpe tuje maarne k liyay kuonke mein darta hu us parvardgar se" ab woh koh e mina hajyoon ka markaz hai aj bi qurbani isi jaga pe hoti hai...dono bhai qurbani deke baap k paas ayay..adam ne farmaya eh qabil teri behn aqlima ab habil pe halal huwi aur tjpe haram ..qabil yeh faisla sunke hasad ki aag mein jalne laga ....


tu qabil aqlima ke liyay hasad ki aag mein jalne laga ( n yeh jo hasad ki aag hoti hai it's v bad insan bure se bura kaam karne pe amada hujata )aur hasad ki ibtada qabil se huwi thi ...aur phir woh hasad ki aag mein harwaqt is tadbir mein rehne laga ke kis tarah se habil ko qatal karde ...aur phir jab hazrat adam(alyih islam )haj pe ghay (us zmana mein bi haj hota tha allah tallah ka yeh kabah ki tamir sahi manoon mein tu hazrat ibrahim(alyeh islam) ne karwai thi lakin aik batul mamool huwa karta tha hazrat adam ke zmana mein bi aur uske gird tawaf ka aik tareeqa e kaar tha..hazrat adam wohi pe haj pe jatay the yani zyarat ke liyay jaya kartay the ...ar ajka khana kaabah bi theq usi jaga pe hai)...naql ke mutabik woh mangal(TUESDAY) kka din thaa usi din qabil ne habil ko marne ki thani..lakin woh is taradud(sooch) mein tha ke habil ko qatl kaise kiiya jayay (choonke woh insaniyat ki shuruat thi aur pehla qatl tha isliyay qatil yeh nahi janta thak qatl karne ke liyay kiya kya jata ...)isiliyay shaitan ne yeh mushkil asan ki aur aik insan ki shakl mein zahir huwa aur aik saanp hath mein leke qabil ke samne uske pathar mara..saanp margya aur woh whan se gayib hugya
...yani qabil ne shaitan se talim pa li ke kis tarah aik pathar zamin se uthayay aur utha ke sir pe mare aur habil mar jayay aur yahi huwa habil mar gya...aur woh asi o gunahgar huawa...aur phir woh soochne laga ke ab laash ka kya karna chahyay...akhir laash ko kande(shoulder) pe leke phirne laga aur ALLAH ne aik kawe ko beja jaisa ke kitab e balagat mein irshad huwa" phir beja ALLAH tallah ne aik kawa ke woh kureede us zamin ko ke qabil dekh le ke kis tarah apne bhai ki mayat chupayay"almuhtsar yeh hai ke do kawe allah ne beje aur woh apas mein jagre aik ne dosre ko maar dala aur apni choch se zamin ko khood kar qabr ki misaal bna ke usmein us kawe ko daal dya aur chala gya ...sorah e maida ki tafsil mein likha hai ke "isse pehle koi insan nahi mra tha ke jisse maloom hota k murde ke badn ko kya karna chahye.."..1000 saal ki umr ko puhnchne k baad hazrat e adam(alyih islam) bemaar hue aur khane k liyay muhtalif iqsaam ke meeve(fruit) lane ki farmayish ki sab bete meeve laane ke liyay ghay mgr hazrat sheesh (alyih islam )teemardaar mein rhe aur baap ki khidmat kartay rhe...aur jab un sab betoon ke ane mein dher huwi tu hazrat adam ne hazrat shesh se kaha ke tu us pahar pe jake dua maang ( woh pahar jabl e rehmat tha...bht sare zayirin jab makkah aur madina jatay hai tu makke mein jahan masjid e namrah hai aur maidan e arfat hai wohi pe jabl e rehmat nazr ayega )yeh wohi pahar hai jahan hazrat e hawa aur hazrat adam ka milaap huwa tha yani jab behisht se nikala gya tha tu dono alag alag maqamat pe chale ghay the aur yahi woh makam hai jahan hazrat adam ki touba qabool huwi aur hazrat e hawa ka unse milaap huwa...(aik rawayat hai ke hazrat e adam ki touba qabool huwi thi like jab itne bars taq woh rote rhe tu unke zehn mein aya k meine janat mein aALLAH ke naam ke sath mohamaad ka naam likha dekha thaa tu unho ne phir aap(saw) ka vaasta deke dua mangi tu qabool karli gai yani aap(saw) ka noor e mubarak azal se hai aur abad taq rhegaa...jab duniya mein kuch na tha tu aap(saw) ka noor bnaya gya thaa..lakin kuch loog is rawayat ko jhoota tasawur karte hai mein yahan foriqa bandi pe baat nahi karonghi aur na hi mera maqsad kisi firqe pe critise karna lakin brelvis(sunis) ke mutabik yeh rawayat thiq hai )...
aur phir hazrat e shesh ko bi usi pahar pe beja k tu jake dua mang aur teri dua ki barkat se mera aur tera rab janat se meeve bejegaa ...hazrat sheesh jo ke bht hi farmabardar bete the hazrat adam ke farmaya k beshaq aapki dua haq tallah ki dargah mein qabool hai aur woh aaki dua ki barkat se bi meeve bejegaa lakin baap k hukm ke agay sirf jhukaya aur jable rehmat pe jake dua maangi...aur dua mangne ke baad kya dekha ke hazrat jibrayil (alyih islam )tarah tarah ke meeve aik hoor ke sir pe rakh ke layay hain ...hoor apne chehre ka naqab khol ke samne hazir huwi ...hazrat adam ne hazrat jibrayil se poocha k yeh hoor kis ke liyay hai ...hazrat jibrayil ne farmaya ke haq e tallah ne is hoor ko behish(janat ) se hazrat e shesh ke liyay beja hai (taqeh woh unki bv ban saqein)...choonke aapke tamam farzand siwayay hazrat shesh ke juft(twins) paida huwe hai .. baaz rawayat t mein hai ke woh hoor zamin pe rhi aur hazrat e shesh se shadi ki aur is hoor ki zuban arabie thi aur jo fazrand isse paida hota woh arabian hotaa aur hazrat e MOhammad (saw) isi ki nasl se hai (yani aap (saw) ki nasle mubarak ko khuda ne shuru hi se beaib aur dhaag se paak rakha ...hazrate shesh jo ke hazrat adam ke sabse naik bete the aap ko unhi ki nasal se munsalik kiya gya)....

 

Written by a sister. Thank You. May Allah Bless you.

Regards
M.Aashir Siddiqui



About the author

Aiya

I am just a boy and student BS(CS) trying to earn some money plz kindly help me to earn some money

Subscribe 0
160