to bhaiye sab se pehle adds ke bare me bat krte hai ke ye data on krte hi hame pareshan q karti hai?
iska jawab ye hai ke ji hazrat online paise kamate hai wo apps bana kar usme apni refferel link add kar dete hai
jaise hi aap hazrat data on karte ho tab adds show hone lagti hai aor aap agar use dekhte rhen ya use click karen to unhe paise milte hai...
chalen ab masla to hai hi ye jis se hum bahot tang aagaye hai
masle ka hl bta rha hu...
mere pas is masle ke 3 hl hain
1) kitkat/lollypop user ke liye
2) rooted andrpid ke liye
3) unrooted android ke liye
1] kitkat/lollypop user ke liye:-
jin hazraat ke pas kitkat/jellybean android version wala phone hai unhe kisi third party app ki zaroort nhi
wo isliye q ke data ko konse apps istemal kar sakti hai aor konsi nahi ye aap hazrat decide kar sakte hain
Izke liye aapko points follow karna hai
1)setting me jayen
2) data usage pr tap karen
3) ab aap ko aise green clour wale icon (like a system apps icon) wali apps bhi dikhai degi uspr number wise tape karen
4) ab page ko sab se niche scrol karen aor restrict background data pr tick lagate jayen
[note:- playstore,whats app,face book,browser pr tick na lagaen]
lo g aapke cell pr adds dikhai dena bnd ho gai hai... ye mukammal hl ho gaya hai
aap niche bhi padhe agar aapka cell rooted hai to...
2] rooted devise ke liye:-
rooted devise istemal karne wale users play store se "DroidWall" download karen.
ye rooted devise ke liye apps hai jiski madad se aap strickly kon kon si apps ko data use karne ka permition dena hai decide kar sakte ho.
follow given below points....
1) Play store se apps download karen
2) apps open karen
3) jin apps ke liye aap data pack use karna chahte hai use tick lagaden aor option me jakar apply rules pr tap karden...
lo g aapka kam ho gaya ab kisi add ki majal nahi aapke cell pr jhalak bhi dikha jaye
3] unrooted devise ke liye :-
Unroot user ke liye sab se uper diya gaya tariqa bhi qabile istemal hai aor agar unrooted user ka android version lower hon aor uska android data usage ka option nahi dikhata hon to unhe chahiye ke google play store se
"NoRoot Firewall" app download karen
is apps ki madad se aap koi bhi apps ko data use karne ki permission dena chahen de sakte hai.