Imran Khan
Pakistan
Full name Imran Khan Niazi
Born November 25, 1952, Lahore, Punjab
Current age 63 years 58 days
Major teams Pakistan, Dawood Club, Lahore, New South Wales,Oxford University, Pakistan International Airlines, Sussex,Worcestershire
Batting style Right-hand bat
Bowling style Right-arm fast
Other Administrator
Relation Cousin - Javed Burki, Cousin - Majid Khan
In a nutshell Imran Khan is indisputably the greatest cricketer to emerge from Pakistan, and arguably the world's second-best allrounder after Garry Sobers. He took a mediocre side and transformed them into world-beaters, leading them to the World Cup title in 1992. More
Mat Inns NO Runs HS Ave BF SR 100 50 6s Ct St
Tests 88 126 25 3807 136 37.69 6 18 55 28 0
ODIs 175 151 40 3709 102* 33.41 5105 72.65 1 19 36 0
First-class 382 582 99 17771 170 36.79 30 93 117 0
List A 425 384 80 10100 114* 33.22 5 66 84 0
Bowling averages
Mat Inns Balls Runs Wkts BBI BBM Ave Econ SR 4w 5w 10
Tests 88 142 19458 8258 362 8/58 14/116 22.81 2.54 53.7 17 23 6
ODIs 175 153 7461 4844 182 6/14 6/14 26.61 3.89 40.9 3 1 0
First-class 382 65224 28726 1287 8/34 22.32 2.64 50.6 70 13
List A 425 19122 11312 507 6/14 6/14 22.31 3.54 37.7 12 6 0
Shaukat Khanum Memorial Cancer Hospital and Research Centre:
Shaukat Khanum Hospital ka qayam 29 December 1994 ko amal mein aaya. Es hospital mein gharebon ka muft elaj kiya jata hai aur ye Pakistan ke qalab Lahore mein waqae hai, Shaukat Khanum Hospital donation ke zarye chal raha hai jis ko dost, ahbab aur pori duniya ke ameer log donate kar rahe hein. Es hospital mein 1000 cancer ke mareezon ka muft elaj hota hai. es hospital ke bani Imran Khan hein.
Namal College/University:
Namal college Punjab ke shehar mianwali mein waqae hai, es college mein duniya ki her subject parhai jati hai. Namal college 40 kenal per mojod hai jo Mr Ghulam Mohammad Seelu ne provide kiya hai ye aik aam insane hein. Es college ke president Imran Khan hein. Imran Khan humesha chahte hein ke Pakistan ke no-jawano ko Pakistan he mein aik mayari aur sasti taleem mil sake aur woh aik din Pakistan ka naam roshan kar sakein
iyasi sargarmiyan (political activities):
Khelon ki diniya mein naam kamane ke bad kai cricketer ne Pakistani siyasat mein qadam jamane ki koshesh ki magar kamyabi bohat kam ko mili in he mein ek naam Imran Khan ka hai.
Imran Khan ne 15 saal pehle Pakistan tehreek insaf ki bunyad rakhi aur 15 saal ki an-thak mehnat ke bad Pakistani siyasat mein tesri badi party ke tor per samne aaien, es doran kai hokumatein aain aur chali gain Imran Khan ki soch aur andaz bhi badalti rahi. Imran khan ne 1997 ka election nawaz sharif aur Benazir Bhutto ke khelaf larte howe buri tarha na-kam howe aur jab general perveez Musharaf aain to in ke hami ban gae, referendum mein in ka sath diya magar kuch he dino mein unho ne Musharaf ka sath dene ko apni zindagi ki sab se bari ghalati tasleem kiya aur qoum se perveez musharaf ka sath dene ki wajha se mafi mangi.
2002 ke election mein imran khan ko Mianwali ki nishist se kamyabi mil gai magar national assembly mein un ki aik loti awaz baz-gasht ban ke reh gai aur jab wakla ki tehreek ka aaghaz howa to Imran Khan ne media ke zarye siyasi maqboliyat hasil karni shoru ki aur jab 2008 ka election aaya to election mein hissa na lene ka fesla kiya es tarha no-jawan nasal in ki taraf matawajah hoti chali gai.
30 October 2011 ko hone wala minar-e-Pakistan ka jalsa in ki siyasi maqboliyat ki pehli serhi sabit hoi Imran Khan jab siyasat mein aaein to in ka qarebi taluq jamat Islami ke sabiq ameer qazi hussain ahmed marhom ke sath raha. Pakistan tehreek insaf es waqt Punjab samet pore Pakistan mein aik maqbol tareen jamat ke tor per samne aai hai.