iqrar nama (short story)

Posted on at


                                            Iqrar nama

Hazrat Khawaja Hassan Basri ALLAH k aik kamil wali the.ap BASRA k rehne wale the.jaha ap ka makan tha parose m aik shamoon nami aatish parast rehta tha.aur us ki tamam umer aag ki pooja m guzr gai umer k aakhri hissa m pohench kr aik martaba wo shadid bemaar ho gaya.Khawaja Hassan Basri iyadat k liye tashreef le gaye. ap ne dekha k beemari k bais wo behd kamzore ho kr merne k qareeb ha or aag is k bister k pas sulag rahy ha.tamam duaan kamre m phela hoa ha.jis se is k cehre ki rangat b kali per gai ha. ap ne ye surathal dekhi to farmaya: oye shaamoon zindagi ki saanse ukhar rhi ha.is charaag ka koi barosa nik k kb madham per jaye.is Khuda-e-Bazurg k khof ko dil m jaga de or muslman ao ja. apni tamam umer tm ne aatish parasti m guzar di ab Din-e-Islam ko b aazma kr daikh.mje yaqeen ha k Khuda tm per apna khasoosi fazalokaram kare ga.

shamoon ne Hassan Basri ki bat sun kr kaha. "kia ap mje DIn-e-Islam ki sadaqat ka koi saboot de sakte ha" Ap ne farmaya Ha.kia tm is bat ko tskeem krte ho k tm ne musalsal 70 saal tak aag ko apna khuda samaj kr pooja jb k m ne aik lamha k liye aisa ni kiya.q na aag k is aalao m apna apna hath daleor ye dekhe k ye kis k hath ko basab krti ha.purstish ka taqaza ha k ye apne pujari ko koi  nuksaan na de or mera hath jala de mgr mje apne ALLAH se ye ummed ha k aag mje koi nuksaan na pohncha sake  gi or is k sath ap ne apna hath aag m daal dia.jb kafi dair bad nikala to hath sahi salamat tha. ye dekh kr shamoon ka dil beqarar ho gaya.wo sochne laga k m ne tamam umer aag ko devta samaj kr pooja mgr kch faida na hova ab chand saanse baqi ha q na muslman ho jao ye khayal aate hi us ne Khawaja Hassan Basri se sawal kia. kia ap jante ha k m beemar hu in chand saanso m muslman ho kr m khuda ki ibadat kaha kr sakta hu.

Hazrat ne bht itminan or piyar se farmaya  "oye bai tu fikr na kr sirf kalma perh kr daira islam m dakhil ho ja.mera khuda rehm krne wala h wo yakinan tum se razi ho jae ga. shamoon ne phr kaha agr ap mje aik iqrar nama tehreer kr de k ALLAH meri guzri zindagi k gunaah maff kr de ga or mje azab  na de ga to m muslman ho jao ga. shamoon ki bat sun kr Hassan Basri ne foran iqrar nama likha ur shamoon musharaf ba Islam ho gaya.is ne Hazrat ko wassiyat ki k  jb m mar jao to tajheezotakfeen or qabar m mje khud utarna or ye iqrar nama mere  hath m thama dena ta k ALLAH k samne saboot paish kr  sakoo. jb shamoon mar gaya to HAZRAT NE IS KI wasiyat per amal kia.is rat ap aik lamha k liye b na na so sake or tamam raat ALLAH ki bargaah m sarbasjood kr k ye sochte rahe k oye Hassan tu ne kia kr dia tuje to apni gaidad per ikhtiyaar ni or tu ne shamoon ko azaab se rahai ka zamanat nama likh dia.isi asna m ap ko neend aa gai.
or khawab m shamoon ko dekha k sir per aik hasseen taaj ha or noorani poshak pehne wo janat m tehal raha ha ye manzir daikh kr Hazrat ne pucha.

shamoon kesi guzr rahi ha bola ALLAH ne muj per bara fazalokaram kia ha.aik bara alishaan mehal rehne ko mila ha. Hassan ab ap k zume koi bojh baqi ni reha. ap ka likha iqrar nama mere bht kam aya.m cahta hu k ap ki bargaah m wapis kr du.ye keh kr is ne wo iqrar nama HazratKhawaja ko de dia.khawab khatm hoa to Khawaja Hassan BAsri ki ankh khuli to iqrarnama un k hath m majood tha.

                                                                   THE END

Written by: Babar Adrees

International Islamic University Islamabad (iiui).



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160