Jhoot bolna

Posted on at


#Jhoot
Jhoot aik aisa amal jiss se sachaai na pata lag saky, Gunahaanae Kabeera may say ek gunaah hai Jhoot.
Imam Ali a.s. ki ek hadeeth “Koyi banda eimaan ka mazaa chak nahi sakta jab tak jhoot ko tark na karay mazaak waala jhoot ya sanjeedgi wala.”
Jhoot haraam hai chaahe zubaan say kaha jaaye, chaahe ishaaray say kiya ho, chaahe qalam {likh kar} say, aur chaahay apna banaaya huwa ho chaahay kisi aur ka banaaya huwa ho aur bagair hawaale {reference} kay agay naqal karay.
Jhoot mazaak may ho ya sanjeedgi may ho haraam hai
4th Imam a.s. hadeeth “Apnay aap ko jhoot say bachaao chaahe chota jhoot ho ya bada jhoot chaahe sanjeedgi may ho ya mazaak may.”
Rasul e Khuda s.a.w.s. nay qayamat ki nishaani yeh bataayi hai kay logo kay nazdeek jhoot mazaak ban jaaya karega. ALLAH ki laanat ho jhootay par agar who mazaak hi may kyu na bol raha ho.

Ajkal har ki jhoot ko mazaaq banaya howa hai kehty hain kuch nahi hota.. yahan tk hukum hai jhoot bolny wala jannat ko nahi deikh skhta... yeh bht baaari bhaat hai :(
Ap(SAW) ky paas aik Sahab-e-karaam(RA) aae aur pooch
"Ap(SAW) kya ap ki umaat agy ja ker chori kery gi? Ap(SAW) ny farmaya han kerey gi,
phir pocha
"Ap(SAW) kya ap ki umaat agy ja ker zina kere gi ? Ap(SAW)  ny farmaya han kerey gi,
phir poocha
"Ap(SAW) kya ap ki umaat agy ja ker jhoot boly gi ? Ap(SAW)  nahi meri umaat jhoot nahi bol skhti :'( .

Aur ajkal deikho baat baat per hum jhoot bol dete hain mazzak smjh ker :( .. akhirat jald anny wali hai ALLAH aur Ap(SAW)  ko raazi kerlo
zindagi ka kuch nahi pata yahan se chaly gae aik baar bs phir jannat ya jahanuum. pehchanoo apny ap ko kess liye ae ho duniya mein..
ALLAH hame es per amal kerny ki taufeeq de AMEEN.



About the author

Owii

BITLANDERS OFFICIAL
I'm a simple guy
Love travelling and photography

Subscribe 0
160