Dunya mai har insaan ki zindagi mai kuch khoobsorat pall hoty hain jo key Jo us ko hamesha Yaad rehty hain..Is Key elawa Kuch TalKh haqeeqaten bhi hoti hain jin sey Insaan ko sabaq lena chaiye or Ainda sey un sey bachna chaiye..
Haris , Umar or Fahad teeno Eik School mai parhty they or achy dost they..teeno Eik doosrey par jaan chirikty they. Haris apne maa baap ka aqlota beta tha us key abu eik businessman thy or kaafi companies mai un ki investment thii gharz yai key haris eik ameer family sey belong karta tha.. zindagi mai use kisi cheez ki kammi nai thii agar kammi thi to maa baap key pyaar kiii.. us ki ammi bhi parhi likhi thi or dono ami abu apne business mai busy rehty thy jis kii wajja sey haris ko wo pyar nai mil sakka jo eik maa baap ko apney bacho ko dena chaiye ..
Isi liye wo bhi apne maa baap ko ziada khatir mai naa laata or apni hi dunya mai magan rehtaa thaa.. lekin nihayat hi shaareef or Aajiz insaan tha or ameer baapon ki bigri hui olaado ki tarah nai tha..
Umar or Fahad Dono uskey achy dost thyy.. wo School key baad bhi akhaty rehty thy..Umar haris par apni jaan chirktaa tha lekin Fahad ki nazar Sirf Haris ki dolat par thi.. Is ki bhi wajja fahad ka laalchi baap thaa jo us ko hamesha haris ko bewakoof banane ke liye ragib karta thaa is liye use dosti pyaar ka mtlb sey bilkul anjaan thaa..
waqt guzarta rha or dono barey aadmi ban gaye.. comment if you are intrested in further..