Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai..
Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai,
Aur saath taaron ki zeyaa jaagti hai,
Jis waqt sheher mein neend ki pariyaan utrein,
Dil main tere khayal ki absraa’a jagti hai,
Aah, woh vasl ki raat, aayi gayi ho gayi,
Haaye yeh hijar ki raat qatra qatra jagti hai,
Kahan le aaye yeh mohabbat ke zakham mujhe,
Namak kholta hai, aur hawaa jagti hai,
Kaj-adaayion ke mausam main koi peer-e-mughaan,
Kehta hai abhi loh-e-wafaa jagti hai,
Yeh rat’jage kabhi apni maan se to nahin kahe,
Phir bhi mere sang ik duaa jagti hai..
Likhe huye ghairon ke sallam atey hain..
Khat main likhe huye ghairon ke sallam atey hain,
Kis qayamat ke yeh naaamey mere naam atey hain..
Khoon-e-jigar peeney ko, lakht-e-jigar khane ko..
Khoon-e-jigar peeney ko, lakht-e-jigar khane ko,
Yeh ghizaa milti hai lailaa tere deewane ko..
Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga..
Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga,
woh dil main apne utarne to de mujh ko..
Bewafa koi nahin hai, bawafa koi nahin..
Bewafa koi nahin hai bawafa koi nahin,
Aashiqi aur hussn main ab wasta koi nahin,
Log hain be’meher ya rasm-e-gadaayi na rahi,
Sheher ki galiyon main gada’a koi nahin,
Na’rasaayi ka woh aalam hai ke ehl-e-dard ke,
Haath phailey hain magar lab pe dua koi nahin,
Tangi-e-halaat main kese badal jaate hain log,
Jaante hain sab magar pehchaanta koi nahin,
Bik gayi ghairat jane kab kis bazaar main,
Dukhtar-e-milat ke sar per koi ridaa koi nahin,
Dhaar khanjar ki shanaasa, Teer bhi manoos se,
Hain sabhi apne yahan per doosra koi nahin,
Dekh kar zulm-o-sitam sabhi nazrain chura lete hain,
Sab zubaan rakhte hain lekin bolta koi nahin,
Khaa geya dil ko, jigar ko reza reza kar geya,
Dard aesa hai Qamar ke jis ki dawaa koi nahin..