noooo

Posted on at


Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain

So Us K Shehr Main Kuch Din Thehr K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se

So Apnay Ap Ko Barbaad Kar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm'e'Naz Uski

So Hum B Uski Gali SE Guzar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair'o'Shairi Se Shaghaf

So Hum Bhi Mojzay Apnay Hunar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Bolay To Baaton se Phool Jhartay Hain

Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta Hai

Sitaray Baam'e'Falak Se Utar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazaal Si Aankhen

Suna Hai Usko Hirann Dasht Bhar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati Hain

Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Raat Se Bharh Kar Hain Kakulain Uski

Suna Hai Shaam Ko Sayee Guzar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai

So Usko Surma Faroosh Aah Bhar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Uskay Laboon Se Gulaab Jaltay Hain

So Hum Bahaar Par Ilzaam Dhar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen Uski

Jo Sadaa Dil Hain Usay Ban Sanwar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Chashm'e'Tasawur Se Dasht'e'Imkaan Main

Palang Zawiye Uski Kamar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Uskay Badan K Tarash Aisay Hain

K Phool Apni Qubain Qatar K Dekhtay Hain

 

Wo Sar'o'Qad Hai Magar Be-Gul'e'Muraad Nahi

K Us Shajar Pe Shagofay Samar K Dekhtay Hain

 

Bas Ik Nigaah Se Lut'ta Hai Qafila Dil Ka

So Rah Rawa'e'Tamanna Bhi Dar K Dekhtay Hain

 

Suna Hai Uskay Shabistaan Se Moutasil Hai Behisht

Makeen Udhar K Bhi Jalway Idhar K Dekhtay Hain

 

Rukay To Gardishain Uska Tawaaf Karti Hain

Chalay To Usko Zamanay Thehr K Dekhtay Hain

 

Kisay Naseeb K Be Pair'han Usay Dekhay

Kabhi Kabhi Dar'o'Deewar Ghar K Dekhtay Hain

 

Kahaniyan Hio Sahi Sab Mubalaghay Hi Sahi

Agar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhtay Hain

TAGS:


About the author

160