RIZQ KA IHTRAM (Short story)

Posted on at


                                    RIZQ KA IHTRAM

Quran ki surah Rehman m irshad rabani ha.
or tm apne Rab ki konsi konsi namton ko jhutlao ge.

ayat mubaraka m bar bar is jumle ko dohrane ka maqsad insanis bat se bakhabar rakhna ha khuda ne ise kitni namton se sarfaraz farma rakha ha.ye nametain tmhare shumar se bahir ha insani aqal in ka ahata ni kr sakti or lutf ki bat ye k in nameton or barkaton kanazool kabi kabi ni blke matvatar insan  ki zaat per ho raha ha.phr a insan tm bala meri konsi konsi nameton ko jhutlao ge or mere kon kon se inamoikram se inkaar kero ge. sahet-o-tandrusti aqal wo nametain ha jin ka insan kisi tor b shukria ada ni kr sakta. in k ilawa khuda ka aata karda rizq aik aisi namet hakhas ha jis per insani zindagi ka darumidar ha. in namet haye gair mutraqba ko paane k bad insan per lazim ha k wo apne khaliqomalik ka dam dam k sath shukria ada kare jase mulk yamin m Abdullah nami aik shaks ko ALLAH ne bra rizq ata farmaya or wo is namet ki bht qadar krta tha. is ka mamool tha k rozana gurbaomasakeen m kheerat krta or rizq ko hr mumkin tareeqe se zaya hone se bachata.

ALLAH ki bargaah m us ka ye amal itna pasand kiya gaya k din ba din us ki dolat ur rizq m kashaish ati gai. dolat ki is farawani ne abdullah ko khofzada kr dia.wo sochta tha k is ki kaseer dolat use halak na kr de. agr ye dolat km ho jaye to is ka khof b km ho sakta ha.isi khayal k paish-e-nazar wo aik bazurg k pas gayaur kafiyat biyan ki.bazurg ne at sun kr kaha.tm rizq ur dolat mustahqeen m khirat kia kero. Abdullah ne jawab dia.Hazrat ye kam to m aik arsa se krta ja raha hu mgr is k bawjood dolat berthi ja rahi ha. bazurg ne kch towaqaf k bad Abdullah ko makai ki roti di ur farmaya.lo or oonth per bhete khate  chale jao.Abdullah ne hadayat per amal krne ka wda kia or ijazat le kr wapis rawana ho gaya. safar k duran is ka oonth jb aik ragistaani ilaqa se guzr raha tha to makai ki roti k chote chote tukre rait per girne lage.Abdullah ko rizq ki behurmati gawara na hoi to us ne sawari se utar kr is ne tamam tukre apni hatelim jama kiye or ziada bareek the waha se rait utha li or un ko bare ihtiram k sath kisi mehfooz jaga per rakh dia.

bad m jb wo ghar pohencha to kch aram k bad apne mamoolat-e-zindagi m masroof ho gaya. kch mah guzrne k bad us ne nehsoos kia k is k malodolat m mazeed kashadgi peda ho rahi ha. us ne chaha k aik bar phr us bazurg k pas ja kr hal-e-dil kahu.Ahle Danish ka qole ha khr sha ki ziyati buri hoti ha.kahin aisa na ho ye chalti hoi dolat mere liye nuksaan da sabit ho.wo phir se azurg k pas pohencha to unho ne  hal daryaft kia.jwab m Abdullah ne kaha.a naik insaan meri dolat ab pehle se kai guna ziada ho gai ha or kasrat zar ne mere shaboroz k sakoon ko barbaad kia ha. na mje din m qarar milta ha or na raat m.mje samaj m ni perta k is pareshani se m kase azaadi  paon.

bazurg ne jb Adullah ko pareshan hal m dekha to kaha.beta tmhari or rizq m kami waqaya ni ho sakti ha mera khayal tha k makai ki roti k tukre jo khaane k duraan zameen per gire ge tm un ki trf tawaja ni do ge. mgr tm ne rizq ha ihtiram kiaor unhe ihtiyaat se utha kr mehfooz makam per rakh dia. lihaaza is naik amal k sila m ALLAH ne tmhare rizq m kashaish paida farmai.beshak jo log ALLAH ki ata krda nameton or is k rizq ki qadar or ihtiraam krte ha  ALLAH in se khush ho kr in k naik amal per inhe inaam se nawazta ha. or in k rizq m kashaish paida farmata ha.jao or us khuda ka shukr ka ada keroor itminan rakho k tmhe koi nuksaan na pohnche ga . tm is ki hifzoaman m raho ge.

                                                      THE END

Written by: Babar Adrees

International islamic university islamabad (iiui)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160