Mujh say pejli si mohabat meri mehboob na mang
Main nay samjha tha keh too hay to darakhshan hay hayat
Tera gham hay to gham-e-dehr ka jhagrha kiya hay
Teri soorat se hay aalam main baharon ko sabaat
Teri ankhon kay siva duniya main rakha kiya hay
Too jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye
Uoon na tha, main nay faqat chaha tha uoon ho jaye
Aour bhi dukh hain zamanay main mohabat kay siva
Rahatein aour bhi hain wasl ki rahat kay siva
Unginat sadiyon kay tareek bahimana talism
Rasham-o-atalas-o-kimkhaab main bunwaye hooay
Jabaja biktay hooay koocha-o-bazar main jism
Khaak main lithrhay hooay khoon main nehlaye hooay
Jism niklay hooay amraz kay tanooron say
Peep behti hooi galtay hooay nasooron say
Laot jaati hay idher ko bhi nazar kaya keejay
Abb bhi dilkash hay tera husn, magar kaya keejay
Aour bhi dukh hain zamanay main mohabat kay siva
Rahatain aour bhi hain Wasl ki rahat kay siva
Mujh say pehli si mohabat meri mehboob na mang
(Naqsh Faryadi)
******************************
PASS RAHO
Tum meray pass raho
Meray qatil, meray dildar, meray pass raho
Jiss gharhi raat chalay
Asmanon ka lahoo pee kay siyah raat chalay
Maham-e-mushk liye nashtar-e-almas liye
Bain kerti hooi hansti hooi, gati niklay
Dard kay kasni pazaib bajati niklay
Jiss gharhi seenon main doobay hooay dill
Asteenon main nihan hathon ki rah taknay lgain
ass liye
aour bachon kay blaknay ki tarah qulqul-e-may
Behr-e-nasoodgimachlay to manaye na manay
Jabb koi bat banaye na banay
Jabb na koi baat chalay
Jiss gharhi raat chalay
Jiss gharhi matami, sunsan, siyah raat chalay
Pass raho
Meray qatil, meray dildar meray pass raho
Masko 1963.
********************************
Tari umeed tera intezar jab say hay
Na shab ko din say shikayet, na din ko shab say hay
Kissi ka dard ho kertay hain teray nam raqam
Gila ho jo bhi kisi say teray sabab say hay
Hooa hay jabb say dil-e-nasaboor bay qaboo
Kalam tujh say nazar ko barhay adab say hay
Agar sharer hay to bharhkay, jo phool hay to khilay
Tarah tarah ki tal’ab teray rang-e-lab say hay
Kahan gaye shab-e-furqat kay jagnay walay
Sitara-e-sahari ham kalam kab say hay
Bombay 1957
***************************************
Yeh jafaye gham ka chara, woh najat-e-dill ka aalam
Tera husnn dast-e-Eeasa, teri yaad roo-e-maryem
Dill-o-jan fidye rahhay kabhi aakay daikh hamdam
Sar-e-kooye dill figaran shabey aarzoo ka aalam
Teri deed say siva hay teray shaoq main baharan
Woh zamein jahan giri hay teray gais’woon ki shabnam
Yeh ajab qiyamtain hain teri rahguzar main guzraan
Na hooa keh mar mitain ham, na hooa keh ji uthain ham
Lo suni gayi hamari, uoon phiray hain din keh phir say
Wohi gosha-e-qafas hay, wohi fasal-e-gull ka maatam
Lahore Jail
February 1959.
*****************************************
KAHAN JAAO GAY
Aour kuch dair main lutt jaye ga her bam pay chand
Aks kho jayei gay aainey tar’as jayein gay
Aarsh kay deeda-e-namnak say baari baari
Sabb sitaray sar-e-khashak baras jaein gay
Aas kay maaray thakay haaray shabistanon main
Apni tanhai sametay ga, bichaye ga koi
Bevafai ki gharhi, tark-e-madarat ka waqt
Iss gharhi apnay siva yad na aaye ga koi
Tark-e-duniya ka samaan, khatm-e-mulaqat ka waqt
Iss gharhi aaye dill-e-aawara kahan jaao gay
Iss gharhi koi kisi ka bhi nahein rehnay do
Koi iss waqt milay ga hi nahein rehnay do
Aour milay ga bhi to iss ta’our keh pachtaaogay
Iss gharhi aaye dill-e-awara kahan jaoogay
Aour kuch daer theher jaao keh phir nashtr-e-subh
Zakhm ki tarah her aankh ko bedar karay
Aour her kushtaa-e-wamandgi-e-aakhir-e-shab
Bhool kar saa’at-e-darmandagi-e-aakhir-e-shab
Jaan pehchan mulaqaat pay israar karay
December 1961.
**************************************
Har shaakh chaman ki jal rahi hai
Kya baad-e-Muraad chal rahi hai
Hum hain ke faraib kha rahe hain
Dunya hai ke chaal chal rahi hai
Yun dil main hai teri yaad jese
Veerane main aag jal rahi hai
Rukh phair lia hai jab se tu ne
Dunya ki nazar badal rahi hai
Darpaish hai aaj bhi woh soorat
Jo soorat-e-Haal kal rahi hai
Itni bhi Faraz bad-dili kya
Sambhlo! Ke fiza badal rahi hai
More: forum.chatdd.com/urdu-poetry-club/91143-poet-ahmed-faraz.html#ixzz3QWihIh00
SHAAM
Iss tarah hay keh har ik pairh koi mandar hay
Koi ujrha hooa, bay noor purana mandar
Dhoondata hay jo kharabi kay bahanay kab say
Chak har baam, har ik dar ka dam-e-aakhir hay
Asman koi parohat hay jo har baam talay
Jism par rakh mala, maathay pay sandoor malay
Sar nigoon baitha hay chup chaap na janay kab say
Iss tarah hay keh pas-e-pardaa koi saahir hay
Jiss nay aafaq pay phailaya hay uoon sahr ka dam
Daman-e-waqt say paewast hay uoon daman-e-sham
Abb kabhi sham Bujhay gi na andhera hoga
Abb kabhi raat dhalay gi na sawera hoga
Asman aas liye hay keh yeh jadoo tootay
Chup ki zanjeer katay, waqt ka daaman chootay
Day koi sankh doohai, koi payel bolay
Koi bu’t jagay, koi sanwali ghoongat kholay
*******************************************
QAID-E-TANHAI
Door aafaq pay lehrai koi noor ki lehr
Khaab hi khaab main bedaar hooa dard ka shehr
Khaab hi khaab main betab nazar honay lagi
Adm abad-e-judai main saher honay lagi
Kaasa-e-dill main bhari apni saboohi main nay
Ghoal kar talkhi-e-dair-o-zamein may amrooz ka zahr
door aafaq pay lehrai koi noor ki lehr
Aankh say door koi sub’ha ki tamheed liye
Koi naghma, koi khushboo, koi kafir soorat
Adm aabad-e-judai main musafir soorat
Bekhabar Guzri, Pareshni-e-umeed liye
Ghoal ker talkhi-e-dair-o-zamein amrooz ka zahr
hasrat-e-roz-e-mulaqat raqam ki main nay
Dais perdais kay yaraan-e-qdah khwar kay naam
Husn-e-aafaq, Jamal-e-lab-o-rukhsar kay naam
Urdu has a class of his own. As this language is read,
written and spoken by millions of people living in
Ind-Pakistan and almost every part of the world Urdu
Poetry is also not new to us.
Wisaal rut ki yeh pehli dastak hi sarzanish hay….
kay hijr mosam ney rastay rastay
Safar ka aghaz kar liya hay..
Tumharey hathon ka lams jab bhi meri wafa ki
hathelion par..
Hina baney ga,,
Toh soch loon gi
Rafaqaton ka sunehra sooraj..
..Gharoob kay imtihan mein hay…
Hamarey baghon se gar kabhi titlion ki khushboo guzar na paye
Toh YEH NA KEHNA KAY TITLION NEY GULAB RASTEY BADAL LIYE HEIN…
Agar koi sham youn bhi aye kay jis mein hum tum lagein paraye,
Toh jaan lena
kay sham beybus thi shab ki tarikion kay hathon
Tumhari khahish ki muthian bedhayano mein kabhi khulein toh..
Yaqeen karna…
KAY MERI CHAHAT KAY JUGNOON NEY
TUMHARE HATHON KAY LAMS E TAZA KI KHAHISHON MEIN
BARE GHANERE ANDHERE KAATE..
Magar yeh khadshe
Yeh waswasay toh takalafan hein
Jo beirada safar pe niklein
To ye toh hota hay
ye toh hoga,,,,
Hum apne jazbon ko munjamid raiganion kay sapurd kar kay..
yeh soch lein gay..
kay HIJAR MOSAM TOH WASAL KI PEHLI SHAM SEY HI SAFAR KA AGHAZ KAR CHUKA HAY
Which is brought to us through the ages by famous Poets of India and Pakistan, like Mirza Ghalib, Mir Taqi Mir, Alama Iqbal, Bahader
Shah Zafer and so many others. Ghazal is still very
popular in most of the modern writers of Urdu Poetry.
Har khushi milte rahi,hum khud pe itraate rahe,
Chalte hue har raah mai,hum khud hi ithlaate rahe,
sapne saj.te rahe,hum unhe sajaate rahe,
Har baat se anjaan,hum khud hi anjaan bante rahe,
Samjhaya jisne bhi,hum use samjhate rahe,
Har baat ko apno ki,hum naadani se jhutlaate rahe,
Diya tha jo ALLAH ne,hum use apna batlaate rahe,
Ibbatdat chor us ke,hum us ki chokhat se bhi door hote rahe,
Bhula sab ko,hum din raat us ka naam lete rahe,
ALLAH ke jageh,hum use rakh ke aage chalte rahe,
Pooja karni thi apno ki,hum use poojte rahe,
Apna jan use,hum sab se door hote rahe,
Aaya din kismat ki aazmaish ka,hum us pe bharosa kiye baithe rahe,
Umeed mai us ke aane ki,hum saare din intzaar karte rahe,
Sab toota sab loota,hum phir bhi us pe aitbaar karte rahe,
Chora tha jis ke liye ALLAH ko bhi,hum us ka yakeen karte rahe,
Maut kab aaye pata na chala,hum us ke kafan ka intzaar karte rahe,
Us ke liye chora jin ko,hum un ke pyar ke liye taraste rahe,
Baith ALLAH ki chokhat pe, Faraz aaj khud pe hanste rahe…….
Baith ALLAh ki chokhat pe, Faraz aaj khud pe hanste rahe…….
In these pages I will be trying my best to introduce
some new writers along with some selective works of
famous world renowned poets.
============