Talab ko ajar na dun, fiqar-e rahguzar na karun,
safar mein ab ke hawaa ko bhi humsafar na karun.
Ubharte doobte sooraj se tod lun rishta,
main shaam odh ke so jaaun aur sehar na karun.
Ab iss se badh ke bhala kya ho ehtiyaat-e wafa?
main tere shehar se guzrun, tujhe khaber na karun.
Ye mere dard ki daulat, meri maata-e firaaq
in aansu’on ki wazaahat main umar bhar na krun.
Ujaad shab ki khalish ban ke bann mein kho jaaun
main chandni ki tarha khud ko dar-ba-dar na karun.
Wo ek pal ko dikhaayi toh de kahin ‘mohsin
main jaan ganwa ke bhi uss pal ko mukhtasar na karun. !!