Totey ka pegam (Short story)

Posted on at


                                  Totey ka pegam

kisi mulk m aik bht bara tajar rehta tha.isey apne karobar k silsley m ae din kisi na kisi mulk ya shaher jana perta tha.is ki zindagi ka ziada waqt safar m hi kat jata tha.is safri ne apna waqt katne k liye aik khoobsurat tota paal rakha tha. is totey ka jism sabz ur gardan m patli surkh rang ki gani bari bhali maloom hoti thi.ye janwar jitna piyara tha us se kahin ziada insano jaisi piyari batain b krta tha.jb wo khush kharam hota to malik se kitni kitni dair batain krta rehta. tajar ko apne karobar k silsley m aik martaba jb kisi dusre mulk jana para to rawangi se pehle us ne apne aziz totey se pucha.a meray dost jis mulk m ja raha hu suna ha waha bari khoobsurat cheezain hoti ha m wapsi per tmhare liye kia tohfa laon.

Tota malik ki bat sun kr behad khush hoa or zor zor se bolne laga phr aik dam khamosh ho gaya or thori dair k bad ahista se  bola.a mehrban malik mere liye is mulk se tohfa lane ki koi zarorat  ni.tm sirf itna krna k jb is mulk pohnchoto unhe mera pigham pohnchana jo totey tme baag m nazr ae unse kehna k tm yaha azaadi ki zindagi jee rahe  ho ur tmhara sathi yaha aik arse se qaid m zindagi guzar raha ha tm log marzi se idher udher jate ho ur m yaha qaid m hu. kabhi meri b khabrgeeri kero. tajar bht hirann hoa use kch smj na aya.un se totey ka pigam sun kr us se pucha k pigam dane k bad m kia keru.totey ne jawab dia k waha se jo jawab mile mje batana.

malik ne socha bht ageeb parinda ha ur totey se rukhsat ho kr safar ho rawana ho gaya.  jb kafi dino bad tajar usi mulk dakhi hoa waha aik sabza zar bag tha waha bht se totey the. malik ne apne totey ka pigam yad aya or wo ruk gaya.is nr ju hi darakhton ka aik ghurmat dekha to waha to waha kafi totey majood the. tajar ne un totoo ko wahi pigam suna dia. is ne dekha k aik tota tajar ki at sun kr perhpara k neeche aan gira.tajar ne totey pakra wo bilkuk thanda ho gaya tha.tajar k dil m aik chit lagi ur wo ghumzaca ho kr  bahir nikle gaya sabza zar se.wo soch raha tha k pharphara k marne wala tota zaror mere totey ka rishta daar ho ga.jise meri bat sun kr sadma laga or wo jan de betha.kch dino bad tajar apne karobar se farig ho kr jb apne watan wapis lota to sb se pehle us ne totey ko sari dastaan sunai.totey ne jb apne malik ki bat suni to foran pinjre m pharpharane laga.malik ghabra kr peeche ho gaya. kch dair bad is ne dekha k tota tarap kr thanda ho gaya ha.tajar ne pinjre ka darwaza khola  or totey ko bahir nikala or us k muu m pani dalne ki koshish ki mgr is ki hr koshish nakam gai. is ka tota mer chuka tha.is ne totey ko murda smj kr ju hi aik taraf rakha to tota tezi se ura or samne drakht per ja betha.

tajar ye tamasha dekh kr bht hiran hoa k aakhir majra kia ha.ab tota us ki qaid se azad tha. tahm us ne tote se pucha.hai jate jate mje ye raaz to batla jao k kia mamla ha.totey ne jawabb dia. a mere rehm dil ur mehrban malik jitni dair m pinjre m raha tu ne mera bht khayal rakh.mgr qaid or  azadi do mukhtalif cheezain ha.m azaadi chahta hu.m ne tmhe jo pigam dia use sun kr mera bhai jo neeche gira us ne  aise mje azaadi ka raaz samja dia. aqalmand kehte ha k agr azaadi hasil krna ho to merne se pehle mar jao.jo marne  se pehle mar gaya wo qaid se azad ho gaya.m ne is ki tarkeeb per amal kia or azad ho gaya.ye keh kr tota ura or khuli hawaon m perwaaz krta hoa door chala gaya.

                                                               The End

Written By: Babar Adrees

International Islamic university islamabad (iiui)



About the author

Ihtasham-Zahid

I am student of Electronics Engineering in International Islamic University Islamabad.

Subscribe 0
160